Monday, September 07, 2015

Sonya

(Previous 2 posts on Sonya here and here)

Ye 2004 ki baat hai

Meri residency ke baad pehli job thi. Sonya hamaare hospital ke cafeteria ke kitchen main kaam kerti thi. Uski umar 20-22 se ziyada nahi hogi (Allah jaane ab kahan hai). Main bohat arse tak usko hispanic samjhta raha. Main aksar usko hospital ke bahir tight jeans main cigarette peete huwe dekhta. Aik din hospital main kaam kerte huwe mujeh raat ke 11 baj gaye. Main hospital ki cafeteria main pauncha to sonya kitchen band ker ke safaii ker rahi thi. Mujeh dekh ker Urdu main boli: "Doctor sahab! kitchen to close ker diya. Magar aap betho main kuch le ker aati hun."

Sonya mere liye andar se grilled cheese sandwich aur chicken noodle soup le aayi. 

Sonya se main ne kaha: "Tum desi ho? Mujeh to spanish lagti ho". Woh samjh gai main ye baat uski jeans ke hawale se keh raha hun.

 Usne mujeh bataya ke woh UK main aik Pakistani ghar main paida hui. Usi ke hawale se pehli baar mujeh UK main basne wale PakistanioN ki halate-zaar ka pata laga ke kese bohat saare Pakistani welfare pe aik ghetto - below the line of poverty - zindagi guzar rahe hain. Sonya ne aese hi ghutan ke mahol main aankh kholi. Us ne saara bachpan aik ke baad dusre 'foster homes' main guzara. Na to school theek naseeb hui aur na hi koi college. 19 baras ki hui to koi lalach de ker Chicago le aaya magar uski niyyat koi aur kaam kerwane ki thi. Sonya women shelter main chali gai aur phir kisi tarah hamare hospital main job kerne lagi.

Sonya ki kahani sun ker main ne kaha: "Tumhe gussa nahi aata?"

Usne jawab diya: "Jab mere Allah ne mere liye aik cheez likh di hai to main kaun hoti hun shikwa kerne wali" - Ye baat sun ker mujeh halka sa jhatka laga jo har lamhe Allah se gila-mand rehta tha.

 Ye woh zamana tha jab main apne bete ki bimari se pareshan rehta tha. Jab main ne use bataya to bare sakoon se boli: "Jis ne zindagi di hai, wahi sahet bhi dega aur in choti choti bimarion se usi ka immune system strong hoga. Aap doctor zaroor hain magar nafsiyati tor pe bohat insecure hain." - Ye dusra jhatka tha.

Allah pe us ka iman is qadar mustahkam tha us ki annkhon aur chehre pe sirf itminan tha. Use hamari tarah koi jaldi nahi thi. Aik din cafeteria ki lambi line se meri jhillahat dekh ker boli: "Sir! ye choti choti batain sabar ki training hoti hain. Line main khare ho ker dusre insaanon ko dekha kijye, dil ki duniya aasooda ho jaaye gi." - Sonya ne bachpan main hi burhapa te ker liya tha.

Sonya ko UK ke foster homes main reh ker tight jeans pehnne ki adat ho gai thi, use cigarette peene ki lat lag gai thi. Is liye yahan masjid nahi jaati thi kiunke log use misfit samjhte the. Woh ghar pe hi namaz parh leti thi. Agle 6 mahine usse se baat hoti rahi (phir main ne Chicago choR diya). Roz woh koi aesi baat keh jaati ke main sun (numb) ho jaata. Aik din usne kaha: "Mujeh Allah ki talash nahi. Woh to har su basa huwa dikhta hai. Main to uske andar apne aap ko khoj rahi hun"!

Jab main ne Sonya ko bataya ke main kal Chicago choR ke ja raha hun to boli aap 2 ghante baad mujh se mil ker jaayye ga. Woh job se ghar gai - mere liye Suraf falaq ki khubsurat hand embroidery le aayi. Kehne lagi: "aap ka masla zindagi ki 'rat-race' hai - isi ko hasad kehte hain. Yahi shaR hai. Yahi Uqad hai. Yahi Gasaq aur Waqab hai - Khalaq se uth ker falaq ki fiqar rakhaiN, sab theek ho jaaye ga" !

Kamini saare lafzoN ki tafseer aur mere andar ki har bimari ki taabir - aik lafz 'rat-race' se ker gai !!!!

10 baras baad jab main ne naya house khardia to living room main Sonya ki embroidery aawezaaN ker di. Log aate hain, mujh kafir ko dekhte hain, phir deewar pe surah falaq ko dekhte hain - woh kiya samjhaiN har roz yahi surah falaq meri naal kheench ke rakhti hai - Aur - Allah Jaane ye ilm kis falaq se, raat ke kis paher, us ke bandoN ko ataa hota hai - jo na to kisi library main dekha aur na kisi aalim ko kasab huwa.

Sochta hun Muhammad ki Iqra wali baat theek hi hogi !!!!!


You may hear this post here

2 comments:

bsc said...

You are so right about her that she has already crossed her age. Most remarkable woman. I want to pray for her to have a good Muslim husband who can appreciate her worth Yes she is like a soofi but from within and real life one

bsc said...

You are so right about her that she has already crossed her age. Most remarkable woman. I want to pray for her to have a good Muslim husband who can appreciate her worth Yes she is like a soofi but from within and real life one