Friday, March 18, 2016

Bazgasht

Insaan ki zindagi main aane waale kuch waqiaat ki bazgasht is qadar shadeed aur ameeq (strong and profound) hoti hai ke us ki dhamak (vibration) - aane wale waqiye se bohat pehle hi insaan ko apne hisaar main le leti hain. 

Urdu ke chand intahaii khubsurat jumloN main se aik Shafiqur-Rehman ne likha tha ke: "Agar yahi hona tha to mere dil ki wirani ne mujeh pehle hi se kiun na bata diya".

No comments: