Saturday, March 19, 2016

Gareebi Hispatal

Ye barsoN pehle ka qissa hai, shayed ab bhi wahan aese hi hota hoga

Pakistan main 'house Job' khatam kerne ke baad main ne aik 'private hospital' main sham ki naukri ker li. Hospital Karachi ke mehnge ilaqe Clifton main tha.

Hospital ki peechli taraf, shuru main Western/American tarz pe aik 'Public bathroom' banane ka irada tha jis ki construction ke baad, use istimaal kerne ka irada tark ker diya gaya tha.

Har Jumme ki shaam main notice kerta ke, andoorne-Sindh se bus bhar ke log aate - wahan aik chota sa 'hispatal' lagta (Baad main pata laga woh Gareebi Hispatal ke naam se mashoor ho gaya hai). Wahan 2 din un logon ka chota mota ilaj hota aur itwaar ki shaam bus wapas chal deti. Choti moti 'dispensary' type ka ilaj to theek tha magar us waqt mera matha thanka jab pata laga wahan 'cataract', I n D, D n C, appendix, sutures aur 'tubal ligation' etc. ka bhi kaam hota hai! 

Main ne hospital ke owner se zikar kiya to us ne mujeh bataya - bus yun samjho un logon pe ilaqe ki 'party' aur police ka haat hai! hum kuch nahi ker sakte. 

Aik din main 'Gareebi Hispatal' ke andar chala gaya - ab muamla ajeeb ulaT tha- Safaai suthraii bhi achhi thi - 'dispensary', pharmacy aur hone wale operation - aese hi safaii se hote the - jo kisi aur hospital main hote hain. Ye sare kaam kerne wale doctor nahi bulke dusre hispataloN ke compounder, OT technicians ya midwives hoti thin. Allah jhoot na bulwaye: ye sab apna kaam doctoroN jesi maharat se hi ker rahe the.

Main baRa satpataya 

Usi hospital ka aik technician nazar aaya to main ne use rok ke poocha - ye kiya maajra hai?  

Us ne mujh se kaha: "Doctor sahab! jo kaam aap log 2000 rupe main kerte hain, hum 200 rupe main ker dete hain, Dawaian aur supplies sarkari hospital se aa jaati hain - bus ji sab ka bhala ho raha hai"

"Magar ye to galat hai" - Main ne kaha

Us ne gusse se mujeh kaha: "Aap ko kiya lagta hai? sarkari hospitals main doctors ke naam pe unke ye saare kaam kaun kerta hai? - hum tecnicians hi kerte hain -  aap logoN ne gareeb aadmi ke liye is mulk main koi kasar choRi hi nahi. Hukumat ko awam se dilchaspi nahi. Private hospitals ko gareeboN se nahi - Sahab! jo chal raha hai , chalne dain, Aap to sirf paise kamate hain, hum paise bhi kama rahe hain aur gareeboN ki duain bhi"

BarsoN baad bhi mujeh  pata nahi - ke - gurbat ke saaye main woh kaam theek tha - ya galat? 

Shayed zindagi yunhi 'gray zones' main chala kerti hai !!! 


1 comment:

bsc said...

First see these 2 ahadeeth (one from Sunan Ibn Daood)
"A person whoever practices treatment when he was not known to be acquainted with medicine before will be responsible" Meaning if something goes wrong he will be responsible for it. 2. "Which of you is more skilled in treating this ailment" (Moatta)
Sure these persons are not "qualified to treat" but on the other hand they are 'skilled' so they have that "responsibility" according to the prophet SAWS Secondly they are "Mujrim" for the country law and so you are right when you say "ghalat hay"
Many quacks still work in Pakistan but I believe the Govt. has made it mandatory even for quacks to obtain some kind of licence BUT theirs is unethical practice.