Thursday, March 17, 2016

Jamni Rang ka Phool

(Whenever I get the chance, I ask elderly people lessons they learned in life 
- ke is kaainaat ki sab se baRi kitab insaan khud hai)

"Main aur meri biwi saari zindagi choti choti baat pe laRte rahe. Choti choti laRaion ne diloN main woh shigaf daal diye ke bas rishte ki aik boseeda deewar hi reh gai. Aur phir aik din aesa huwa ke woh aik dum se mar gai. Us din mujeh apne rishte ka shiddat se aehsaas hua. Jin bachhon ke sath main ne biwi se bachne ke liye har lamha guzara, ab woh apni zindagioN main masroof the. Arizona ke 'red mountains' ki agosh main main ne biwi ki aik khubsurat qabar banwaa di. Uske jaane ke baad baar baar ye baat chubhti rahi ke sabar aur durguzar ko kiya huwa tha? Shayed mian biwi ke rishte main aik baar "power rope" chal paRe to mushkil se hi khencha taani khatam hoti hai. 

Arizona ke 'Native Indians' kehte hain 'Hum sab hawa main uRti khaak se ziyada kuch nahi'. Main jab pehli baar apni biwi ki qabar pe fatihaa paRhne gaya to pakki qabar ke sarahne aik ghere jaamni (dark purple) rang ka phool, gaz bhar lambi akeli shakh ke bilkul ooper khil aaya tha. Waqt mile to kisi din maloom kerna ke is ka kiya matlab hota hai*. Mere baRe bhai kehte the: ' Jeeta woh nahi jo aage nikal gaya bulke woh jo ziyada der TheRa raha'. RishtoN main bhi bus aese hi hai. Jo darguzar ker gaya, TheR gaya - woh jeet gaya. Barson pehle is zameen pe aik daana shaks guzra tha jo kehta tha: 

sab kahan kuch lala-o-gul mein numayan ho gain
khak mein kiya suratein hongi, ke pinhan ho gain'


* Purple flower means: to tell your loved one that he or she is still the King or Queen of your heart.

No comments: