Sunday, September 04, 2016

Benny

Benny mere paRos main apne kutte ke sath rehta hai.

Wese to Benny 20 saal se electrician ka kaam ker raha hai magar us ka dil apni musawarri se laga huwa hai. Benny louisiana ke rural area main paida huwa. ThoRi bohat homeschooling hui - is liye woh paRh to leta hai magar likh nahi pata. Us ne apni pehli tasveer das baras ki umar main apni nani ke saath 'garage sale' main bechi, magar jald hi use andaza ho gaya ke tasveerain bana ker zindagi ki gaaRi nahi chal sakti, to us ne electrician ka kaam sikh liya. Woh electrician ka kaam bhi utni hi bareek-bini aur imandaari se kerta hai jese ke apni tasveer pe kerta hai - ke ab ye us ki adate-saaniya ho gayi hai. Benny ne sketches bhi banaye, oil and water paintings bhi ki - magar ab woh ziyada tar rock-paintings banata hai. Ye aik bohat mushkil kaam hai kiunke rock jald paint ko 'absorb' ker lete hain aur inhimaak se us waqt tak brush chalane paRte hain jab tak rang pakke na ho jaaye. Aik din kisi ne Benny ki banayi tasveer ki qeemat sirf 50 dollars lagai. Us din se Benny ne apni paintings bechna band ker di hai. Logon ko gift ker deta hai.

Benny sannate main raat bhar painting kerta hai. Kehta hai paintaing ke liye bohat sakoot chahiye. Benny udas ho to painting kerta hai. Khush ho to painting kerta hai. Aur kisi ko tohfa dena ho to bhi painting kerta hai. Benny ko janwaroN se bari mohabbat hai. Jab main ne Benny ki paintings ka zakhira dekha to us main sceneries to thiN magar kutte, billi, bheRye, sher, cheethe, bob-cats, coyote wagera ki ziyada tasweerain thiN. Main ne Benny se poocha: Aesa kiun? To Benny ne jawab diya: "Kiun ke janwaron ke paas hamari tarah bolne ki naimat nahi to woh saare izhaar aankhon se kerte hain. Yahi baat mujhe bohat mutasir kerti hai aur main koshisk kerta hun ke meri tasveer se janwaaron ki aankhain baat kerti aur apne jazboN ka izhaar kerti nazar aayaiN. Main sab se pehle aankhain paint kerta hun, woh theek ho jaaye to baqi amal baRa asan ho jaata hai". Benny ne ye baat mujh se 2 saal pehle kahi thi. Us din se mera har janwaar ko dekhne ka andaaz badal gaya hai. Ab main kisi janwaar ko dekhta hun to us ki aankhon pe sab se pehle nazar paRti hai aur sach much janwaar mujh se baat kerte nazar aate hain. (Aap bhi aazma lijye).

Benny jese inssan chup chaap apni dhun main zindagi ki chakki main apna DhoNa Dhote rehte hain - is liye nahi ke unko koi faida ho - bulke is liye ke unka dil us se shaad ho. Zindagi aese hi insaanoN se mehkti rehti hai. 

Aap bhi soch rahe hon ge - kesi pheeki pheeki kahani hai. Na koi climax , na koi lashkaara! Magar woh kiya hai ke - meri saari daulat mil ker bhi us ki aik painting nahi khareed sakte !! Mere liye yahi bohat hai ke - jab raat ke sakoot main uske paint ki khushbu meri naak tak paunchti hai to mera dil kerta hai ke kabhi fajar na ho aur khusbu ka yeh masoom lamha yanhi theR jaaye.

Benny mere paRos main apne kutte ke sath rehta hai .

6 comments:

mehnaz said...

A poet said that a untill we have loved an animal, a part of our soul remains unawkened.
I can vouch for this having lived with cats.
Benny seems to be from those few lucky ones who have  recd their soul's calling in his work and he is BEING true to himself. This is also why he paints the eyes first, windows to the soul; and if you think they dont have souls you havent looked into their eyes long enough as a saying goes. I have learnt way too much and recd much more than I gave from my cats, any pet lover( we cant say pet owner because they own us) would agree. One most important quality" absolute emotional honesty";
And this is being reflected in Benny and his work ; very few of us can claim this.

A very, very moving post. One of your bests.

dopamine said...

bohot khubsoorat post sir.

Shaan said...

Nice One Sir......

Unknown said...

Bohot khubsurat Aur dilkash post

mystic-soul said...

Zubair: Dopamine : Shan: Shukriya

Mehnaz:: You comment was so thorough, I just loved it. I never had a pet. Actually,when we were very young we had a parrot (I blogged about Mitthu before) and had a dog. Hopefully, someday I may blog about him. I liked your statement: " I have learnt way too much and recd much more than I gave from my cats".

Aly said...

Bhai aj phir rula dia, kuch mahinon baad aya hun aap ki dehleez per...

-Aly