Wednesday, September 07, 2016

Dr. Gibbs

Zindagi main aksar bohat se achhe insaan milte hain - aur phir bichaR jaate hain. Aaj phir koi baat aesi hui ke Dr. Gibbs bohat yaad aaye. Insan aksar apni nadani se kai mukhlis dostoN ko kho deta hai. Aur main ne to apne laubali-pan se kai piyare dostoN ko khoya hai. 

 Jab main ne residency ke baad pehli job shuru ki to Dr. Gibbs wahiN kaam kerte the. Mast insaan the. Lagta tha siwaye Medicine ke duniya main koi kaam nahi. Akhbaar paRhte ya pipe peete. Werna patients ke saath. Jahaan bhar ka tajarba tha, retire hone ki umar ko the magar kaam is liye kerte ke medicine se muhabbat thi. Un ke patients bhi un se bohat piyar kerte. Har roz un se Doctor's lounge main mulaqat hoti. Dosti ho gai. Main naya tha. Meri bohat madad kerte. Internist the magar central line, Swan Ganz, chest tubes, thoracentesis jese saare procedures aese kerte jese surgeon hon! Procedures kerte huwe whistle bajate rehte. Kehte is se mushkil hal ho jaati hai.  Bohat sikha un se. Sab se baRh ker un se, 'work ethics' aur 'patients se muhabbat' kerna seekha. Medicine bhi bohat seekhi . Jab Kabhi main 2/4 din nazar na aata to kehte: "Where have you been boy! Don't vanish. Stay in touch. It's not a good thing you do to others and yourself. Don't vanish like that ever." Aur har 2 hafte baad phir wahi kahani chalti.

Kisi ne bohat saaloN baad bataya, wapas Ireland chale gaye, wahan GP ho gaye.

Jab job choR ke jaane laga tha, to us din bhi yahi bole: "Young Man! Don't vanish . You hear me right? Stay in touch".

Aaj bhi aksar hospital main procedure kerte kabhi phans jaata hun to  unki whistle bohat yaad aati hai, ke kese asani se sab kuch ker lete the. Sirf is liye ke mohabbat kerne wale insaan the. Apne kaam se sincere the to Medicine ki pechidgiyon se ashnaa the. Kahin dil main koi khot nahi tha. Staff meeting main koi sakht baat bhi keh de to chup ker ke guzar jaate. Allah jaane! aesa dil insaanon ke paas kahan se aata hai. Itni muhabbat, itna darguzar to walioN nabioN main hi dekha - insaan to na huwe!

"It's not a good thing you do to others and yourself. Don't vanish like that ever."- Aam sa jumla tha - 15 baras lag gaye itni si baat ki gheraaii ko samjhne main, ke achhe insaan zindagi se chale jaain to unka to kuch nahi jaata - hum hi apni daulat kho bethte hain.

Aaj phir Dr. Gibbs bohat yaad aaye.

7 comments:

dopamine said...

never vanish sir... your blog is like that Ringer Infusion which gives life to the patient drop by drop. Lots of prayers for Dr Gibbs and you too.. :)

Shaan said...

Kay Bat hai kamal ka post nailed it.... Bas ab Zindagi se itni se guzarish aeyse insan se milade...Otherwise I have to say to my life " It is a bad thing you did to me and yourself. kept me vanish from such people.... :)
Allaha jaane! aesa dil insaanon....... bhaut badi bat hai in lines mei its very rear now a days.

mehnaz said...

Ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
Jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile

Dhoond ujde huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein mile
Plz listen to the "the good, the bad and the ugly" theme song by ukule orchestra of great britan. It has a whistle that could remind you of Dr Gibbs.

mehnaz said...
This comment has been removed by the author.
mystic-soul said...

Mehnaz: it was so beautiful

https://www.youtube.com/watch?v=pLgJ7pk0X-s

Dopamine :: Shan::: you guys should start writing.

bsc said...

I was not going to but since everybody has made so inspiring comments I will. Actually I was reminded of a surgical registrar I worked with in England just a day before Dr. Gibbs blog and I had thought of writing what I learnt from him So I did write my own, Of course the reason and character is different but he was such a nice fellow. I have written about him before for different reason when I learnt first what 14th of February means
When you have time do look up my blog and also my Urdu one because I need some comments on my Urdu one (Huqooq-e-zaujain)

mystic-soul said...

Uncle

I left comment on your Urdu blog. Did you ever get it?