"Babaji! aap kehte hain ilm se darna chahiye. Ye to baRi ajeeb baat ki aap ne"
"Are is main koi ajeeb baat nahi. Ataai-ilm ki surat kuch aur hai. Jab Ilm ataa hota hai to bachhu free main nahi hota! - us ke foran baad - aik dum se aazmaish ki ghaRi aa jaati hai. Jese chori na kerne ka, geebat na kerne ka, bad-nazri na kerna ka ya khamosh rehne ka ilm - kisi ishaare se ataa hota hai to - darna chahiye - kiunke foran koi 'opportunity' aa jaati hai, jahan chori ka moqa milta hai, geebat ki mehfil sajti hai, bad-nazri ka maza milta hai ya bak-bak kerne ka package haat aa jaata hai. Pehle ilm aata hai, uske foran baad aazmaish ki ghaRi aati hai aur yahi tajarba us ilm ki tosee' (attestation) kerta hai. Aik ke baad aik ilm-o-aazmish ki ghaRi insaani ruh ko kundan banane ke liye sulagti rehti hai. Par jise is aag ki tapish hi mehsoos na ho, woh jiya bhi to kiya aur na jiya bhi to kiya."

6 comments:
Bilkul!
What a series of beautiful posts doc!
You are a truly mystical soul!
Koi bhie ghadi aazmaish ki ghadi ho sakti hai aur koi bhie pakad ki!
Bahot mushkil hai dagar panghat ki!
May Allah help us reach him with Qalb-e-saleem.
Mere Nabi farmatei hai Ilm sekho aur aage badao aur jab hum ilm sekhne ke bad us par amal nahi karei gay to ilm keyse aagae bade gaa...jab hum ilm par amal karei gay tab wo dusro pe asar karei gi..
Beautiful Post sir
I did not know you know Koonj She is my piyari bhanji
Mehnaz baitee you would like her She is the most soofi girl in our family
Uncle there was a time when we all were kind of a group blogging together. Social media later took off and people moved to Twitter and facebook.
Beautiful post sir..
Post a Comment