Tuesday, February 21, 2017

On Illapa and Allah

'Aynar' meri zindagi ke un bure dino ka dost hai, jab main Pakistan se yahan aa ker residency dhundh raha tha. Woh 'Peru' se aaya tha. Meri us se mulaqat Miami main hui thi. 

(residency ki chutioN main us ke saath Peru ki pahaRion, gali kuchoN aur raastoN pe guzare un kuch dinoN pe aik post to banti hai - agar kabhi itna waqt mila - magar aaj uski aik baat, kisi wajah se bohat yaad aayi.)

Woh mujeh Spanish sikhane ki koshish kerta (is blog ka unwan 'Mi Vida Loca' usi ki yaadgar hai), aur ghanton apne mulk ke 'inca civilization' ki kahaniaN sunata rehta. 

Aik din kisi baat per 10 commandments ka zikar nikal kiya, to Aynar ne mujh se kaha: "Hamare buzurg kehte the, zindagi guzarne ke liye sirf 3 commandments kaafi hain
1. Chori na karo
2. Sust na bano
3. Jhoot na bolo

Aur ye 3 aehkaam, insaan ko 3 ilhami roshnioN se joRte hain
1. Mohhabbat (love)
2. Kaam (work) aur 
3. Daanish (wisdom)

Jab ilhami roshnioN ka zikar nikla to main ne use ayah Noor sunaii - to uski aankhon main aansoo aa gaye. Poochne laga: "sach bolo: kiya tum log apne Allah ko roshni (Noor) maante ho?" Jab main ne kaha: "Haan" - to kehne laga: "Kitni ajeeb baat hai - hamare roshnioN ke khuda ko hum Illapa ya Apu Illapu kehte hain, ye tumhare Allah se kitna milta hai", Phir us ne kaha; " Hamare buzurg kehte hain - saari kaainaat aur yun saare mazhab aik hi roshni se phute hain - bus rang, nasal, zaban, libas badal gaye hain. Shayed hamara Illapa aur tumhara Allah aik hi hai".


3 comments:

Shaan said...

Fir se ek bar bhaut badiya post...You know what I still find such people who talks so much in depth.... In my whole life it was just on person My Nanajaan.


Beautiful Post...

mehnaz said...

Very beautiful! Well said.
AllahuNurrusamawTiwalArdh!

Books and Stilettos said...

Nice !