Sunday, February 05, 2017

Zafar Chacha Urf "Chacha Chummu"

Jab hum school main the to gate ke bahir Zafar chacha bun-kabab ki rehRi lagate the aur aik rupe ka bun-kabab bechte the. Hame woh aik rupe bohat ziyada lagte the. Har 3/4 din baad paise bacha ke jab hum unki rehRi pe jaate aur aik rupiya dete to woh pehle us aik rupiye ki note ko chumte, aankhon se lagate aur bismillah keh ker apne dabbe main rakh lete aur hume bun-kabab bana ker thama dete.

Unki is adat ki wajah se unka naam hum ne 'chacha chummu' rakh diya. Kabhi kabhi hum bohat haste aur unki khub naqal utarte. Aik din hum sab ne unse poocha; 'Chacha ye aap note ko aese chum chum ke kiun dabbe main rakhte ho?' to unhoN ne jawab diya: 'BachhoN rizq Allah ki taraf se aata hai, uski izzat kerni chahiye'. - Hume samjh aaya na aaya, hum sab ne sir hila diya aur apne apne bun-kabab thaam ker rawana ho gaye.

Phir aik din woh bun-kabab sawa rupe ka ho gaya. Hum baRe satpataye ke ab amma se aur kitne jhoot bolain ge, magar zafar chacha kabhi aik rupe ya 5/10 paise kum main bhi bun-kabab de dete.

Schoool khatam huwa - duniya badal gai - credit card ka zamana gaya

Jab kuch mahinoN pehle India main 'demonitization' ka shor utha to mujeh zafar chacha bohat yaad aaye aur main sochne laga: - Allah jaane aaj ke dor main woh kiya kerte? kese apne rab ka shukar ada kerte?

Jab chacha zafar aik rupiye ki note ko aankhon se lagate the to na sirf apna rizq pakeezah ker lete the bulke hamare bun-kabab main bhi woh pakeezgi utar aati thi. 

Allah jane ab bhi hamare shehron ki saRakon ke kinare chacha zafar jese log hotae hain ya nahi? - jin ki sharafat, kasb-halali aur pakeezgi unke khanoN main utar aati hai.

No comments: