Friday, August 11, 2017

Beqaabu Truck

(This short story is from Alok Bakshi blog. I liked this story as on first read it's appear to be a very simple story - but on second thought - there is an interesting hidden expression)

You can read this story in Roman and Hindi Script here

ek gaaRi me sawaar do dost Uttarakhand soobe me kahiN ja rahe the. din ka samay hone ke bawajood raasta sunsaan tha aur chuNki khaRi chaRhai thi lihaaza driver dheere-dheere gaaRi aage baRha raha tha. 

pahaRi saRke aam taur par tang hoti haiN aur jis waqt yeh waqya hua us waqt bila-shubah aaj ke muqable badtar haalat me rahi hoNgi. gaaRiyaaN ba-mushkil hi ek dusre se aage nikal paati hain aur agar samne se gaaRi aa jaye to aksar kisi ek ko pichche haTna paRta hai. raaste par safar khatre se khali bhi nahiN hota kyonki amooman saRak ke ek taraf gehri khaai hoti hai aur dusri taraf chaTTaneN. Aapko jagah jagah aagah karte ishtihaar dikh jaayenge: “Saavdhani haTi, durghaTna ghaTi.” 

 ba-har-haal gaaRi me baiThe dono dost aapsi baatcheet me hi mashghool the ki yakayak saamne tez raftaar se ek truck aate hue dikhai deta hai. dono Dar gaye lekin Driver ne aqalmandi dikhate hue saRak ke kinaare gaDDe me gaaRi rok di. Truck bina apni raftaar kam kiye aaya aur nikal gaya. dono dostoN ne chain ki saans li aur aapas me baate karne lag gaye ki yeh truck zaroor kisi na kisi din haadse ka shikaar hoga! 

chuNki raasta ghumaav-daar tha is liye truck ekdam nazroN se ojhal ho gaya. lekin agar aap pahaRi raaste me unchai par khaRe hain to niche jaate raaste ke hissoN ko dekh sakte hain. ittefaqan dono ne gaaRi chalani shuru nahiN ki thi aur unka dhyaan niche jaati saRak par hi tha. unhone ghaur kiya ki Truck ka kuchch ata-pata nahin hai, vo bich raaste se hi kahiN ghaib ho gaya hai. Dar ke maare ki kahin Truck khai me hi na gir gaya ho, wo wapas muRe aur idhar-udhar dekhne lag gaye. lekin Truck ka kuchch pata nahin chalaa. 

 paas me hi police ki chowki thi. dono udhar gaye aur ghabraate hue pura qissa sunaaya. unki baat sunke pehle to hawaldaar unko aise ghoor kar dekhta hai jaise use unki baat par yaqeen na ho raha ho. Phir kehta hai: “Bhagwaan ka shukr banaaye ki aap baal baal bach gaye. is Truck ke khauf me rehte hain yahaN ke log! agar Driver ehtiyaat na barat raha ho, to musafir iski wajah se haadse ka shikaar ho jaate hain. nahiN to yeh Bhagwaan jaane kahaN ghaib ho jata hai. yeh Truck kiska hai, ise kaun chalaata hai, kidhar se kidhar jaata hai — koi nahiN jaanta. khair aap khud ko khush-qismat samjhe jo iski chapeT me nahiN aaye. 

 wo din aur aaj ka din, us waqye ke baad dono ne kabhi us saRak ki taraf rukh nahiN kiya!

1 comment:

Anony said...

Hey thanks so much for sharing it Mystic :-)