Saturday, August 19, 2017

Samosa, Ribbon aur Beizzati

(shared by a colleague on dinner table)

"Hum jab school jaate to Amma gin ke roz chaar aane deti jis se hum canteen se koi cheez kha lete. Har jumme ko amma hume aath aane deti ke aik samosa aath aane ka milta. Main woh paise bacha leti. Un paiso ko bacha ker main ne baalon main lagane wali aik achi si ribbon khareed li - jise daadi ne apne haaton se kuch aur taanke laga ker aur khubsurat bana diya. Main roz use pahen ker school jaati.

Aik din PT ke baad main ne ribbon apne baste main rakhi - aur woh chori ho gai. Do din baad main ne woh ribbon aik aur laRki ke baalon main dekhi. Ghar ja ker daadi se kaha: "Daadi meri ribbon jis larki ne li hai, kal main us se bahut laraii karun gi. Daadi ne jawab diya: "Dekho! usey akele mein jo chahey keh lena magar sab ke saamne uski beizzati na kerna. Kisi bhi insaan ki izzat tumhari ribbon se ziyada qeemti hai".

Dadi ki baat choti si thi - magar yaad reh gai - ke kisi bhi insaan ki izzat bohat bari cheez hoti hai

No comments: