Zindagi ke aik muqaam per main bohat pareshan tha. Ye meri har 'teenager' ki tarah confusion ke din the.
Aik din dadi ne poocha: "Beta! dekhti hun, tum aaj kal bohat pareshan rehte ho. Sab theek hai?"
Main ne kha: "Dadi! baRi pareshani hai, aadhi aadhi raat ko aankh khul jaati hai. Kiya karun?"
Dadi jahandida thiN. Unhon ne ye nahi poocha ke kiya pareshani hai, bulke kaha: "Dekho beta! agar pareshani se aadhi raat ke beech aankh khul jaaye to beshak pareshani sadiq hai. Aese main apne dil main dua maango - qarar bhi aa jaaye ga - aur woh zaroor qabool bhi ho gi"
Dadi ka diya nuskha ba-asar tha. Beshak aadhi raat ko pareshani se aank khuli to - us halat main maangi dua se dil ko qarar aa gaya - aur shayed woh qabool bhi hui.
Ab umar ka aik hissa guzarne ke baad bhi koi aesi pareshani la-haq ho - jis pe mera iktiyaar na ho - aur raat ke peechle pahr meri aankh khul jaaye - to dil main maangi dua se qarar sa aa jaata hai - aur shayed woh qabool bhi ho jaati hai
- pata nahi ye us lamhe utarti comos waves ka karishma hai - ya dukhte,sachhe dil ki vibration!!

10 comments:
As if you u have answere my question by this post....At present I'm having the same issue....
I hope this trick may help you :)
It does not help. Actually it shakes the faith up. Or may be I am not a very strong person. The heart is troubled.
Beyond:: I pray, things get easy for you and your loved ones.
I have tried to email you couple of times but got no reply. Could you please check! More than anything, I am in need of a listening ear. I have felt abandoned.
Beyond: Sorry about that.
Actually, I am so busy with work, I check blog email rarely. Let me check.
Beyond I am a good listener not from ears but which dont function but written note and I have plenty of time, if you think I can be of some help
Oh thank you. That is very kind of you. I will write to you. Do you have an email?
Yes, wahaja@yahoo.com
I am also a good listener "ismailshkh125@gmail.com"
Post a Comment