Saturday, November 25, 2017

Apa Shamim ki aik baat

Zindagi main kisi ki kahi - koi choti si baat saari zindagi sahara deti rehti hai

Ye 2005 ki baat thi - Khala ka Pakistan se phone aaya ke baRi pareshan hun, milne aa jao. Unke bete ki tabiyat zaroorat se zyada kharab rehne lagi thi aur ab to rozana hi mirgi ke dore paRte the. Koi dawaii kaam nahi kar rahi thi. Doctors keh rahe the ab aakhri harba dimag ki surgery reh gai hai. Main Pakistan chala gaya. Pehli subah khala se milne pauncha toh khala peeche dewRi main khare ilaqe ke khusre (apa shamim)  se batain ker rahi thi. 

Apa Shamim se meri purani shanashi thi. Jab tak Pakistan main raha, aur jab khala ke ghar jata,  ghanto baith ke apa shamim se batain kerta - woh mujhe Pakistan main transgenders ki zindagi se wabasta nai nai kahaniaN sunati. Unke masail batati. Mere liye woh aik nai duniya thi. Apa shamim mujhe dekh kar bari khush hui, sir pe haath phera, bari duwain di. Phir khala ko dekh kar kaha:

"Achha bibi ab chalti hun. Tum pareshan na ho. Kaun jaane ye zindagi, kisi dusri zindagi ka bas aik khawab hi ho".

Apa shamim chali gai -  magar un ki yeh baat yaad reh gai. Ab bhi zindagi main koi pareshani aati hai to Aap shamim ka jumla sahara ban jaata hai - Apa shamim aaj bhi hayat hain. Ghar wale batate hain ab bhi yaad kerti hain - Sochta hun ke is se pehle ye khawab jesi zindagi tamam ho, aik baar apa shamim se mil aun.

(My cousin Nasru (here) died few months later. His death was a huge jolt to me as it left a guilt that I was unable to pursue him and his family for neurosurgery. My father was very attached to him and firmly believed that his soul frequented our home as he probably committed suicide and those souls stay around - as he always seek refuge in our house if ever disturbed. God bless all souls)


7 comments:

bsc said...

Being a neurologist I feel uncomfortable that Pakistani neurologists were unable to help. Medications are still helpful and surgery indications are not associated with failed medical control as far I am concerned. I know it is late butyou can understand my discomfort. I am not necessarily suggesting that Pakistani neurologists lack any skills

bsc said...

Shameem ApaouN ki aik alag duniya hay jis ki detailShemeem Apa nay aapko dee May be good to know about it but I respect them as they are human beings like you have shown by his/her statement
I do feel that they are not given as much respect in our society as they should be

mystic-soul said...

Uncle: I think I was myself an inexperienced new graduate and failed to properly pursue the situation.

Agree transgenders are not getting due respect, at least in our Indo-pak sub-continent

Aly said...

you should definitely come... just to meet

mystic-soul said...

Inshallah, some day...
Aly, I hope life is well with you.

Aly said...

Alhamdulillah, so far so good. Shadi kay baad ab sirf yehi jawab nikalta hai zubaan se. 'so far so good.'

mystic-soul said...

Aly: You made me laugh :)