Saturday, November 11, 2017

Dr. Jamal ki kahani - Dusra rukh

Koi 6 ya 7 saal pehle main ne apne aik senior, teacher aur bare bhai jese fard 'Dr. Jamal' ki kahani likhi thi (here).

Dr. Jamal kuch arsa pehle intaqal ker gaye. (RIP - ILLWIIR)

Mujhe is baat ka ilm - yani kahani ke dusre rukh ka ilm - un se aakhri mulaqat per huwa - jub woh ICU main admit the. Bohat arse se mujh per ye ikhlaqi farz qarz tha ke unki taraf se bayan ki gai kahani bhi yahan likhun. Merne se 3 din pehle, main un se milne ICU gaya. Un ki kahani un ki zabani suniye

"Saari duniya mujhe juwari samjhti hai - aur theek hi samjhti hai. Tum ise meri "misjudgement" kaho, befawoofi kaho ya kuch aur magar huwa yun - mujhe Pakistan main is baat ka ilm huwa ke Hepatitis C ki wajah se mujeh cirrhosis ho gayi hai. Ye baat main ne sab se chupa ke rakhi. Meri 2 betiyan abhi choti thi. Biwi bachhoN ke ilawa kai aur rishtedaaron ka bojh mujh pe tha. Halanke doctor hone ki wajah se meri aamdni theek thaak thi - magar mujhe andaza ho chala tha ke mai bohat arse zinda nahi rahun ga. --- aese main kisi ne juwe ka raasta dikhaya. Shuru shuru main jitna shuru kiya. Main ne socha marne se pehle itne paise jama ker lun ke biwi bachhon ko mere marne ke baad koi takleef na ho. Magar tum jaante ho. Pakistan se kese bhagna paRa.

Jab America aa ker set ho chuka to aik din mujhe khun ki ulti hui. Andaza huwa ke ab 'esophageal varices' apna kaam dikha rahi hai. Juwa kehlne ka kuch experience tha - yahi soch ke casino jana shuru ker diye.

Kai logoN ke qarz baqi hain mujh per. Kai logon ki bad-duain liye betha hun - magar dimag main yahi aik baat thi ke mere peeche biwi bachhon ko takleef na ho. Liver transplant ke liye reject ho chuka hun. Mujeh maalum hai, bachna mushkil hai. Ab Allah hi hisab kare ga".

Main kuch der unke paas betha. Unke doctors, nurses wagerah se baat ki - wapas chala aaya

3 din baad unko heart attack hua - magar bach na sake - Yun Dr. Jamal ki kahani khatam hui.

Allah unki magfarat kare.

Har kahani ka aik dusra rukh hota hai - hum kaun hote hain faisla kerne wale.

No comments: