Wednesday, March 28, 2018

Panch Pandav

Is blog per ye baat main ne pehle bhi likhi hai, ke taarikh ke waqiyaat sirf 'historical events' nahi hote bulke woh insaniyat ke liye aik istaara (signs) hote hain.

- Ram sita ka vanvaas lena,
- "Moses' ka qatale-tifal ki manadi dete badshah ke mahal main parvarish paana
 'Jesus' ka us ke hawarioN ko choR ker chale jaana,

In sab ke peeche koi 'wider meaning' pinhaN hai.

Meri residency main surat, India se - Rakesh - ne internship shuru ki. Rakesh India main cardiologist tha. Biwi ke dabao pe USA main phir se zindagi shuru kerne ki koshish ki magar ye asan na tha. Woh aik baras baad wapas India chala gaya.

Rakesh ko har mazhab ki kitabain parhne ka shoq tha. Islam ki jitni knowledge usey this hum main se kisi ki na thi. Ajeeb malang aadmi tha. Aik din kehta hai: 'Ye daaRhi muhammad ke devotion main rakhi hai'. Hospital ke saath church main ghus jaata to bibi maryam ke pairoN se lag ker der tak bilkak bilak ke rota rehta - magar saath hi har Sunday baqaidgi se mandir bhi jaata.

Rakesh ne aik din baRi ajeeb baat kahi. Aap ise humor samjh lain, sach, sarcasm ya istaara - ye aap per hai

Rakesh ne apne makhsoos gujarati style main hum se poocha:"Tum log jaante ho paanch paandav ke beech sirf aik aurat kiun thi?"  Hum ne kaha: nahi.

Rakesh ne jawab diya: 
"Aik aurat ka ideal mard aesa hota hai jis main paanch khubian ho. Woh Yudhishthir ki tarah muaf kerne wala, Bhim ki tarah bahadur aur jangju, Arjun ki tarah pur-sakoon, Nakul ki tarah wafadaar aur Sahadev ki tarah aqalmand ho".

- Phir aahista se kaha: "Isi lye aesa taarikh main sirf aik baar huwa!"

No comments: