Sunday, March 18, 2018

shadi

Hamari amma baRe shoq se Pakistani TV drame dekhti hain. Kabhi kabhi main bhi saath beth leta hun. Koi regular sa drama chal raha tha. Actors bhi saare naye naye se the. Baqi saare dialogue bhi aamyaana se the - magar aik jumle ne meri saari tawajoh khench li.

Aik baap, shaddi se inkaar kerti hui beti se kehta hai: "Beta! shadi se insaan mautabir ho jaata hai"

Ye shayed un zimedarioN ke bojh se hota hai - jo insaan ke kaandhoN pe aa paRti hain. Compromises kerne parte hain, sabar kerna parta hai, bachhoN ke liya zindagi ki bhag doR insaan ko adh muwa ker deti hai. Des Perdes ki khak chaanni paRti hai. LogoN ke taane tashne bhi sunne paRte hai. wagera wagera

- aur shayed inhi sab kuch ke 'scarface' se insaan mautabir ho jaata hai.

3 comments:

bsc said...

May be right about "mutabar"
chacha Ghalib ky mutabiq
shadi hat-kaRi lagnay awr bacchown ki paidaish paowN ki zanjeeroN ky mutaradif hay

Anony said...

SadiyoN pehle jab log kheti-baaRi se guzaara kiya karte the us waqt "joint family" me rehna practical tha...!

Phir "industrial revolution" ne kalyug ka aaghaz kiya. Pehle khud ki zameen ke maailk the ab companies ke mazdoor ban ke reh gaye. Naukri bhi apne ghar ke aas paas milne se rahi. Lihaza "joint family" ki jagah "nuclear family" ne le li.

Mere khial se dheere-dheere ab shadi bhi "impractical" banti ja rahi hai. Aajkal miyaan biwi donoN ko hi naukri karni paRti hai, dono ko ek hi jagah naukri milna bhi mushkil hai. Shaadi ke bandhan ya zanjeereyN hamesha itne mazboot nahiN hote ki "long distance relationship" ko qaim rakh sake!!

Isliye shayad waqt ke guzarte-guzarte shaadi bhi qadeem-practices ki fehrist me shamil ho jaayegi :-)

mystic-soul said...

Anony: I met many many people who think at your line of thought process. The way societies are fast changing, I will not be surprised if this happens. Is it good or bad? I don't know. As with the death of institute of marriage, Institute of companionship may die too, which may go against the very basic instinct of human psychology. It's a very controversial and long debate.