Thursday, May 24, 2018

Tasmanian Devil

Is kurrae-arz ke kisi kone main aik janwar rehta hai, jise 'Tasmanian Devil" kehte hain. Is janwar ko khuda na la-tadad khubioN se nawaza hai magar woh un tamam khubion se shaitaini kaam leta hai, isi liye use devil kehte hain - Jese us ke aik niwaale ki tawat 1200 pound/sq inch hoti hai aur us ke daant is qadar tez hote hain ke, ye shikar ke gudoN (bone marrow) tak utar jaate hain - magar khata phir bhi ye murdaar (dead bodies) hi hai. Ye to sirf aik misaal hai. Aaap jitna ziyada is janwar ke baare main paRhte  jaayain ge, aap ka mun hairat se khulta chala jaaye ga! 

Is janwar ne kai zoologists, anthropologists or ecologists ko tajassus ka shikaar kiya hai - Is per bohat kuch likha bhi gaya hai.

Is ke baare main, main jitna paRhta gaya mujhe aesa laga ye hum insaanoN ki misaal hai - jise "ahsane taqweem" ki meeras bulke mairaj pe tarasha gaya aur phir "asfala safleen" ki gherayion main utar diya gaya.

Waqt mile to paRhiye ga - aur sir dhuniye ga - ke hum insaan bhi kese apni khubion ko shaitain aamal ke liye waqf kiye rakhte hain.






No comments: