Thursday, September 03, 2020

Post Mortem

 "Sir! agar zindagi main koi galti ho jaaye to kiya kerna chahiye?"

"Sab se alag ho ker apne saath waqt guzarna chahiye. Apna analysis kerna chahiye. Apni kamingiyon ka idraak kerna chahiye. Zanjīr-e-roz-o-shab ki is tuti hui kaRi main, matame waqt ki is ghaRi main, apni zaat kā labāda utar ke, apna post mortem kerna chahiye"*

"Is se kiya farq paR jaaye ga Sir!"

"Kahin kisi amal main koi pukhtagi aa jaaye gi"


* words shamelessly taken from Faiz' poem  'ye matame waqt ki ghaRi hai'

No comments: