Sunday, January 27, 2008

Amma ki Dua

Jub main ne USA main nai nai residency shuru ki to meri mulaqat aik Pakistani doctor, Dr. Saima se hui thi. Us waqt woh aik university hospital main senior fellow thi. Uska taaluq Faisalabad se tha.

Kai barson baad achanak kuch dino pehle usse aik conference main phir mulaqat ho gai. Itne barson main Saima ne khub taraqqi ki aur ab apni university main aik residency program ki program director hai aur aik ivy league university main associate professor ki faculty position per hai.... In last 10 years, she is widely published and well known in her speciality.

Conference main coffee break ke doran main ne kaha: "Saima tum itni bari doctor bun jao gi, kum az kum mujhe yaqeen nahi tha" !

Saima ne jawab diya: "Sochti hun to yaqeen to mujhe bhi nahi aata magar kubhi kubhi lugta hai ye aik amma ki dua'on ka nateeja hai. Main Faisalabd ke District Head Quarter hospital main house job ker rahi thi. Lagta yahi tha ke shadi ho gi aur phir kahin baal bachon ke saath kisi choti si clinic main part time job karungi. Hamare hospital main aik 17 baras ki lurki TTP (Thrombotic thrombocytopenic purpura) ke saath admit hui. She was half dead. Hum uska dil-jamai se ilaj kerte rahe. Uski amma roz dua deti ke - 'Allah tumhe bohut bari dactar banaye' aur hum larkiyan hastin ke allah jaane ye 'bohut bari dactar' kesi hoti hogi. Phir qismat ne aesi chal chali ke ab tumhare saamne hun. Aaj bhi us amma ka chehra bohut yaad aata hai" !

4 comments:

sobia said...

Maan ki dua, Jannat ki hawa[:)] Aam tour per yeh fiqra mazahiya andaaz mein kaha jata hai magar hai cent percent sahi

Anonymous said...

on lighter note..i still remember from one rickshaw..

Ma ki Dua
Dollar ki talash !

lol

sobia said...

lol[:D] wot abt

Maa ki dua, jannat ki hawa
baap ne kaha, ja beta rikshaw chala

Anonymous said...

hahaha..

baap ne kaha,
ja beta rikshaw chala

This was great !!!