Anis mamu amma ke koi dur ke bhai lugte hain magar yun samjihye, sage mamu se barh ker hain. Bohut hi kum-go (quiet) hain. Zaroorat ho to mun kholte hain. Aik din un ka phone aaya ke agar aa sakte ho to 2/ 4 roz ke liye aa jao ! Main ne wajah nahi poochi. Anis mamu ne bulaya hai to zaroor koi bari baat ho hogi.
Anis mamu ki zindagi bhi ajeeb rahi. Bara bhai hone ke naate pehle chote bhai bhanon ki kafalat ki. Aik bahen ki talaq hui to us ke baal bachhon ka bojh bhi un pe aan para. Karobar main dhoke baazi hui aur aik waqt sab kuch chopat ho gaya. Wahan se sambhle to amma ki kidney fail ho gayi. Unki dawa daru aur dialysis se poore na huwe the ke biwi ko breast cancer diagnose ho gaya. Phir un ke walid chal base. Un ko allah ne teen betian di. Teenon ko achhi taalim-o-tarbiat se aarasta kiya aur b'ahsan do ki achhe gharon main shadi ker di. Bus teesri reh gai thi. Aesa lugta hai Anis mamu ke liye "struggles" ka aik silsila hai jo khatam hi nahi hota. Shayed, Allah apne nek bandon ko jehd-e-musalsal ki aazmaish se isi duniya main nihar deta hai.
Main kaam ki ziyadti ke bawajud 'weekend' pe fly ker ke Anis mamu ke haan Toronto gaya. Wahan ja ke pata laga unki choti beti jo 20 baras ki hai, ko bhi 'breast cancer' diagnose huwa hai aur khud un ke angina ke liye doctors ne bypass 'suggest' kiya hai. Main ne reports dekhi aur apni 'medical judgement' ke mutabiq mashware de diye.
Anis mamu baat to wese hi kum kerte hain. Mujhe airport chorne aaye. Abhi flight main waqt tha. Hum lobby main kursi pe beth gaye. Woh kursi pe sir peeche ker ke aankhain band kiye kafi der bethe rahe, phir mere haat pe haat rukh ker bole:: "Bohut thak gaya hun. Dua kerna mera bypass theek tarah ho jaaye taake beti ka ilaj kerwa sakun." Phir kuch der baad bole: "saare zakham seh gaya magar beti ko bimar dekhne ki taab nahi. Agar allah betion ko itni piyari banata hai to woh dil kiun nahi deta jo betion ka dukh bhi seh sake ? " Mere paas koi jawab na tha !
Bus allah kisi insan ko beti ka dukh na de. Sala bara jaan lewa hota hai ye beti ka dukh !
5 comments:
Allah unki beti ko sehat e kamila de aur khud un ko bhi lambi umar sath sehat k atta kare. keunk donon hi aik doosre k liye anmol asassa hain.
Aulad ka dukh buhut bare bare paharon ko girane ki taqat rakhta hai, shayad yeh aik aisa tareeqa hai jis se her sakht se sakht insan k ander ka masoom aur hassass insan bahir nikala ja sakta hai
And somehow father are more near to their daughters !!
May allah make yr prayers come true.
Zindagi inhi talkh haqeeqtoon ka majmua hey. But Allah jisey jis aazmaish mien daalta hey usey us ko bardasht kernay ka hosla and sabr bhi deta hey.
Salute to all people who still care for social values and relations.
Allah sub ki mushkilain asaan fermaye. (Aameen)
Ameen !
Ameen
Post a Comment