Friday, March 14, 2008

Dreams - 2

When I was writing 3 properties of Dreams in last post, I had one other thing in my mind, which I skipped as it get bestow to only few blessed people. I strongly believe that Dreams keep man connected to spiritual world. Few blessed find elevated souls in their dreams to guide them and few stupid like me, don't get message pass.

"Modern days" main kum-az-kum 2 aadmi aese hain, jin pe mera yaqeen hai ke woh jhoot nahi likh sakhte, aur un dono ko khawab main rasul-e-akram (prophet Mohammad) ka deedar huwa.

1. 'Josh' maleeh Abadi ne apni kitab "yadon ki barat" main apne is waqiye ko qalamband kiya hai, aur

2. Qudratullah Shahab ne apni kitab "shahab-nama" main apna waqiya likha hai.

Mera 2 khawab aese hain jin main 2 buzurg hastian nazar aain magar na to main unko pehchan saka aur na ye maalum ho saka ke mujh jese gunahgar ke khawab main aa ker unhon ne apne qimti waqt ko barbad kerna kiun munasib samjha !

Aik khawab mere liye is qadar private hai ke, main blog pe us ka zikar nahi kerna chahta. Dusra khawab 1995 ke Haj season ke dauran huwa. Aik buzurg tilmilati dhoop ke neeche bethe the aur unhon ne mujh se kaha "sad-afsos is baras kisi ne bhi haj nahi kiya".

Allah jane woh do ba-resh buzurg kaun the. Kaash meri is qadar ruhani bisat hoti ke un ko pehchan hi pata !

No comments: