(Beautiful Hikayat taken from suffering with behaviours )
Kehte hein k aik buhut ibadat guzar buzurg hua kerte the. Unhon ne 80 saal tak aik pathar per beth ker ibadat ki. Uss k baad unka Khuda se mukalima hua.
Khuda ne kaha k "tum kia chahte ho, tum per reham kiya jaey ya tumhare sath insaaf kiya jaey".
Buzurg ne choonke buhut arsa ibadat ki thi to woh yeh samajhte the k woh buhut bare ajar k mustahiq hain. unhon ne socha k meri ibadat ka to ajar hi itna hoga lehaza reham ki mujhe kia zaroorat. Unhon ne jawab diya k "mere sath insaaf kiya jaey"
Khuda ne phir yehi sawal duhraya aur buzaurg ne her baar yehi jawab diya.
To Khuda ne faisla sunaya k;"Insaaf ka taqaza yeh hai k tum ne iss pathar per 80 saal beth ker ibadat ki lehaza ubb iss pathar ka haq hai k yeh tum per beth ker 80 saal tak ibadat ker sake."
No comments:
Post a Comment