Friday, March 21, 2008

Salim aur Shamsha !

Salim ko kharadar (old Karachi) ki aik parchun ki dukan pe betha dekh ke jitna dukh mujhe huwa us ka bayan mumkin nahi. Salim ko main ne metric ka tution parhaya. Tub main medical school ke first year main tha. Saleem jese zaheen talibe-ilm main ne bohut kum dekhe jo sochte the, sawal kerte the aur ilm ka shoq rukhte the. Metric ke baad ghar ke halat ki wajah se salim ne science se mazmun tabdeel ker ke commerce le liya.

Salim ki choti behen 'shamsha' tub aathween main thi. Aage chal ker 'shamsha' bhi mere medical school main aa gai. Main final year main tha. 'Shamsha' was extremely pretty, aur allah jhut na bulwaye, I was extremely flirty ! Main aksar 'shamsha' se flirt kiya kerta aur woh hasti rehti.

Aik din main ne shamsha se kaha: "Shadi to tumhari mujh jese hi kisi lurke se hogi, phir main kiun nahi ?"

Shamsha ne jawab diya: "Mere liye imran khan na sahi magar wesa hi koi prince aaye ga to shadi karun gi !"

Main ne kaha: "Shamsha ! hamari galion main kisi prince ya imran khan ka helicopter nahi aata bulke sirf abdul sattar edhi ka helicopter aata hai."


Waqt ka payyah ghum gaya. Main america aa gaya. Jahan kai purane logon se bandhan tute wahan salim aur shamsha bhi the. Ab ki baar main Pakistan gaya to kisi tarah Salim ko mere aane ki khabar hui. Us ne phone kiya. Main ne poocha mulaqat kese ho ? Us ne kharadar ki aik tang gali main parchun ki dukan ka pata bata diya. Gali itni tang thi ke mujhe rickshaw bahir hi chorna para. Salim jesa zaheen talib ilm gurbat ki wajah se yun parchun ki dukan khol bethe ga ! mujhe yaqin nahi aaya. Salim ko to bohut aage jaana chahiye tha ! (He would have made a very good journalist)

Salim ki walida ko Asthma ka marz tha. Un ka 2/3 roz pehle CT scan huwa tha. Main ne kaha: "Main dekhun CT scan?" Us ne kaha: "woh to shamsha ke ghar hai?"

"Kesi hai woh?" Main ne poocha. Us ne mobile pe number milaya aur bola chalo abhi us ke ghar chalte hain. Kharadar ki tang o tareek galion main ubalte gatar se bachte bachate aik purani andheri si imarat main dakhil huwe. Darwaza shamsha na khola. Waqt, halat aur gurbat ka zakham bohut ghera laga tha. Chote se flat main boseeda se sofe the. Deewaron se plaster jagah jagah se ukhra huwa tha. Shamsha kisi chote se clinic main kaam kerti thi. Us ka shohar kisi company main accountant tha. Main ne CT scan dekha. Do char baatain ki. Salim ko shamsha ne bottle lene neeche bheja to main aur shamsha kuch lamhon ke liye akele reh gaye. Hum dono sofe ke do kinaron pe bethe the. Main ne uski taraf dekha to aankho main dubdubate aansu saaf zahir the. Hum ne koi baat nahi ki. Hasti bolti, khawabon main rehne wali, zinda dil shamsha andar kahin ghut ke mar chuki thi. Ye to aik zinda laash thi jo shohar aur bachhon ka bojh uthaye phir rahi thi. Main kuch lamhon ke baad salim ke saath wahan se wapas aa gaya.

Humare mulk main kitne hi salim aur kitni hi shamshaon ke khawab gurbat ne zinda dargor ker diye. Sali bari kutti cheez hai ye gurbat !

6 comments:

Anonymous said...

Interesting! are u cursing ghurbut or regretting not having Shamsa. How can u say that she is a zinda laash....when guys don't get the girl they want they think she is unhappy because she rejected them and is suffering now what if she would have married u? and u;ll be back there how u'would have brought the difference ...most of the men change women into wives by killing those careless girls whom they fell in luv with and secondly we apparently make choices but all is destined for us.....I think even if u would have offered her to trade the events r lives probably she would hae turned u down again!!!!

Anonymous said...

This is a story of a fox and the grapes and the grapes were sour!


....and the fox had a blog.

sobia said...

baat ghurbat ki hai, tarjeehaat ki bhi, non practical khwabon ki bhi aur naive hone ki bhi. as they say, 'Experience is a hard teacher because she gives the test first, the lesson afterwards..'.
tasweer ka doosra rukh yeh ho sakta hai k shamsha mutmain ho keunk itminan k liye paisa to shart nahi hai. Allah kare aisa hi ho

Anonymous said...

annony 1 and 2... I think, you guys completely missed the point of post !!


W in M W: Jub khawab chakna chur hote hain to bari tor phor hoti hai !!..The post was all about that 'tor phor' from breaking of those 'khawab'

Anonymous said...

BTW, this story was not only about shamsha but also, about one young man's lost of dreams due to poverty

Anonymous said...

Interesting guys totaly know when they want to potray a lady as victim and when they want to blame her and make guilty ....it's all abt them........existing in their heads.......it's abt their getting and staying deprived.......the way u mentioned her eyes speechless moment all is abt u not her....u made assumptions on her part....men have skill to judge the intentions and know the thought according to their own understanding.
labelling ppl with annoyed one and two it's .....interesting when ppl disagree it does not mean that they r annoyed. So in ur world scientists or epedimologists are all annoyed ppl because they disagree and choose to research presented by some one else??????