Saturday, March 01, 2008

Bheriye

Peechli post kalank main aik aesi aurat ke qissa tha jo zulm se bachne ke liye muashre ki parwah kiye bagair 'bhag gai', magar hur aurat main itni himmat nahi hoti, ya kisi aur wajah se woh 'domestic violence' ka zulm sehti rehti hai. Ab un aurton ki bhi 'logic' sun lijye.

Amma ko masjid main 'niaz' dene ka shoq tha. Itna saara khana banane ke liye amma ke paas aik 'kaam wali bai' aati thi. Woh aaye din amma ke aage apne 'marad' ka dhukra roti rehti. Aik din amma ne kaha, 'jub itna maarta hai to chor kiun nahi deti, tumhari to beti bhi biah chuki hai".

Us ne jawab diya: "Begum, maarta to bohut hai magar phir sochti hun aik mard ka naam to saath hai. Tumhe malum nahi begum, jub aurat ke saath kisi mard ka naam na laga ho to kese kese bheriye (monsters / foxes) aas paas jama ho jaate hain".

No comments: