Rumi ki aik hikayat hai:
"Laila jub majnu ke ishq main be-haal ho gai to laila ke baap ne aik maulvi ko bulvaya ke laila ko samjhaye. Laila ko samjhane se pehle maulvi sahab ki namaz ka waqt ho gaya. Maulvi ne musalla beechaya, aur namaz parhna shuru ki. Jub laila ko maulvi ke bulvaye jane ka ilm huwa to woh wahan se bhagi. Bhagte waqt us ka paun maulvi sahab ke musalle pe par gaya. Maulvi sahab ko gussa aa gaya: "Nadan larki, tujhe koi hosh bhi hai ke nahi". Laila ne jawab diya: "Main to majnu ke ishq main madhosh hun magar maulvi sahab aap ke allah se ishq ko kiya huwa ke aaap ko musalle pe mere paun ki khabar ho gai?"
2 comments:
kia khooob bat kahe..niceee i m in love with your blog app jo bhi hoo but you are great :)
Thanks for compliment and you are always welcome !
Post a Comment