Tuesday, November 20, 2007

Beyond calculations

Behroz ka taaluq Iran ke Shehr Tehran se tha. Kehte hain agar khubsurti dekhni hai to "Faras ka Naujawan" dekho, ke masdaq Behroz aik haseen mard tha.

Behroz jub america aaya to 13/14 baras ka hoga. Yahin school college gaya aur phir aik gori se shadi ker li. Jub Behroz ki talaq hui to woh mere barabar ke 'studio' main move ho gaya. Main tub residency ker raha ta. Kubhi kubhi main aur Behroz Chicago ki baraf bari se tang aa ker apartment building ki lobby main aa bethte aur baraf girte dekha kerte. Aesi hi aik sham Behroz ne mujh se kaha: "Boston main mere 'house' ke patio se baraf baari ka jo nazara hota tha, kaash tum woh dekh sakte".

Main ne kaha: "You have 'house' in Boston ?"

Us ne hans ke jawab Diya: "I had it. Not anymore. I made good money in real estate in Boston. I bought that house with all my savings and gift it to my wife when I got married. I lost it during my divorce".

Phir us ne jo baat kahi woh zara gor se suniye:

"You know in our eastern culture once we give things to women we are not suppose to take it back.....Mera baap kehta tha - aurat ko security chahiye. Agar woh dekhe gi ke mera shohar mujh pe itna bharosa kerta hai to woh hamesah tumhari rahe gi. Mera baap kehta - hamesah makan aurat ke naam rakho...Mere khandan main kubhi koi makan mard ke naam pe nahi kharida gaya. Mere dada ne dadi ke naam aur mere baap ne meri ma ke naam makan banwaya........ Jub meri divorce hui to main ne woh makan apni biwi se wapas nahi liya"

...Phir thori der chup reh ker bahir baraf dekhete huwe us ne kaha: "It was so hard for me to explain to my lawyer that why I can't have that house back. Few things are so beyond calculations" !

2 comments:

sobia said...

aap ki iss post se multi cultural marriages ka aik aur pehlu dekhne ko mila. thnx for sharing!

mystic-soul said...

true...as world is getting global, we are seeing more n more of it..