Sunday, November 18, 2007

Velona, Mambo Dance aur Be-khudi

Velona ki umer koi 75 baras hogi magar apni umer se woh kum as kum 10 baras choti dikhai deti thi. Apne aap ko hur waqt ban-sanwaar ke rakhti. Velona un aurton main se thi, jo jaanti hain ke kitna 'makeup' kerna hai - na kum na ziyada (aesi aurtain duniya main kitni hon gi !). Velona hamare hospital ke aik medical floor pe peechle 40 baras se unit secretary thi. She was very professional in her work.

Pata nahi kub kahan kese meri aur velona ki dosti ho gai. Woh aksar weekend pe jub hospital slow hota mujhe senior doctors ke scandal sunaya kerti. Us ke husband ka intiqal ho chuka tha. Us ne dusri shadi nahi ki thi. Aik sunday ki subh, jub hospital main 'census' bohut kum tha aur khirki se bahir snow storm apne urooj pe tha - main aur velona nursing counter pe coffee pite huwe batain ker rahe the. Woh mujhe aksar kehti: "Doctor, you are so young. You haven't experience life". Woh jub apne makhsoos hispanic lehje main mujhe 'doctor' kehti to usme sur ki aik ajeeb ley hoti. Mere kanon ko bara bhala lugta. Us din Velona ne mujhe bataya: "Main un chund khus-naseeb aurton main se hun, jin se un ke shohar toot ker mohabbat kerte hain. Hum ne saath zindagi guzari, makan banaya, bachhe bare kiye - magar hum dono ke nazdeek agar koi cheez zaroori rahi to aik dusre ki qurbat thi".

Main ne Velona se poocha: "Agar main tum se poochun ke agar koi aik lamha jo tumhari zindagi pe bhari ho to kaunsa ho ga - one that moment which is most precious to you".

Velona ne kaha: "Jub main aur mera shohar Mambo dance kerte huwe aik dusre main kho jaate the to us se ziyada duniya main koi bekhudi aur masti nahi hoti thi. Us ke marne ke baad main ne Mambo dance nahi kiya...Doctor ! tum kiya jano jub insaan ki mohabbat uske saath bekhud ho ker nachti hai to insaan kis kefiyat se guzarta hai".

Aur phir us ne bataya, "jub main apne shohar ki pehli barsi pe us ki qabar pe phool rakhne gai to mujhe laga mera dil phat jaaye ga. Phir main kubhi us ki qabar pe nahi gai". Us ne muskurahat se aansoo dhapne ki koshisk ki aur kaha: "Doctor! you are so young, you haven't experience life" !

Us roz poora din mere liye Chicago main snow storm yun garjta raha jese kahin mambo ki beats par rahi hon !

3 comments:

Anonymous said...

Mohobbat her kisee ke liye farq kiyun hoti hei... kisee ke liye kurbat aur bekhudi aur kisee ke liye... ???
Mohobbat ko to bus mohobbat hona chaiye...

sobia said...

mohabbat bus mohabbat nahi hoti keunk insan sirf insan nahi hota [:)]

Anonymous said...

Ye mohabbat bulke ishq bari harami cheez hai...

Ye paani ki tarah hur kisi ke piyale main alag roop dhar leti hai.

Zaher ka piyala hai....haramzada !