Friday, November 09, 2007

Chai ke cup ka pehla ghunt

Zindagi ki kuch yaadain itni lateef hoti hain ke woh saari zindagi insaan ke saath rehti hain. Magar saath hi un main itni garmi hoti hai ke insaan us yaad ki aahat se hi pighal jaata hai.

Mere walid 'karak aur garam chai' peene ke shauqeen the. Jub amma abbu ke liye bawarchi khane main chai bana leti to mujhe cup deti aur kehti, jao abbu ko de aao. Main chai ka cup abbu ko dene se pehle, unke paas khara ho ker, hamesah pehla ghunt khud leta. Abbu meri is adat ko note kerte hain, mujhe is baat ka aehsas na tha. Aik din main ne abbu ko yunhi cup de diya to abbu bare piyar se bole, 'lo pehle tum to ghunt le lo'. Us din se phir ye roz ka maamul bun gaya.

Abbu ab is duniya main nahi rahe (see) magar aaj bhi jub 'karak aur garam chai' ka pehla ghunt leta hun to abbu bohut yaad aate hain !

No comments: