Sunday, November 04, 2007

Radio Pakistan ki aag

Aaj Pakistan ke akhbar roznama 'Jang' main aik column shaya huwa hai. Yun to Pakistan ke mojuda halat pe itna likha aur suna ja raha hai ke main is blog pe us ka izhar redundancy hi samjhta hun, magar baqol Ghalib - Dil hi to hai dard se bhar na aaye kiun

Ye column batata hai ke ilmi aur ruhani tor pe hamari qaum kitni diwaliya ho chuki hai. Ye column na to emergency ke nifaz pe hai aur na 'dhashatgardi ke khilaf jang' per hai, bulke ye parto hai hamari muflisi ka, hamari dam torti qaumi gairat ka.

Radio Pakistan ki aag by Azeem Sarwar

Ye column aap ko us Pakistan ko yaad dilaye ka jo hum sab ki aankh ka tara tha aur dil kahe ga - kubhi hum khubsurat the

Jub Azeem Sarwar jese zinda-dil log mayoos ho jayain to samjho fatiha ka waqt hai. Dil kerta hai keh dun ke - aesi qaum ko barbad hi ho jana chahiye. Magar kese keh dun - us mulk ki galion main beechi be-hisi mere dimag ko sun kiye de rahi hai. Jee chah raha hai ke is column ke aakhri jumle ko thora badal ker yun likh dun:

"Jis mulk ko main ne gulistan ki surat dekha tha, us ko shamshan ke roop main kese dekhun, himmat nahi hai...." !


2 comments:

Anonymous said...

jee kibla azeem sarwar
tabiat yaqeenan bakhair nhin hogi
kionkeh bakol apkay apto pakistan ki halat say mayos khushhal sehat say mehrom ho chukay hain
to kion nan naseebay dushmaanan jo apki kismat main jalwa afroz hain(mean hum basorat colam)apki tabiat ki kharabi or mayoosi ko char chand lagatay hain like as parwaiz musharaf
to kibla hay to chota monh bari baat par kia karain chup bhi raha nahin jatay
app jaisay log hi logoon ko mayoosi ka dars detay hain or himatay bazo par inhasar nahin karnay detay
ajee musalmanoon ko gam liya quid nay to pakistan bana dala
ilama nay khayal day dala
or hafeez jalandhri nay tarana likh dala
par appnay 2 lafz likh dalay
wo bhi mayoosi kay
halankeh bakol banda khuda
mayoosi kufar hay
to uthyee or dekhyee
umeed ki aik kiran
tabeer kay 100 charag jala saktee hay
bashartay keh wo aik kiran appkay ansaoon main naan doob jayay
jaisay shah rukh ki sharab main paro doob gye

Anonymous said...

Dear Sobia - Salam

Allah aap ko aur zore qalam de.

Main kuch dinon pehle khud Karachi main tha aur main ne ja ker woh jali hui imarat dekhi. Saaf zahir hota hai ke itwar ke roz woh aag lagwaii gai thi take MA Jinnah Road ke front pe koi super plaza taamir ho sake. Sitam to ye hai ke us 'historical building' ko restore kerne ki bhi koi kiran nazar na aai....aur itna bara waqiya arbab-o-aktiyar ki marzi ke bagair nahi ho sakta !!

Idealist hona achha hai magar apne khamion ka idrak bhi zaroori hai