Wednesday, February 06, 2008

Allah Rakha Rehman

Ye peechle saal 2007 ki baat hai. Main Houston gaya huwa tha. Jumme ka din tha. Mere dost ne kaha, aao jumme ki namaz parh aate hain. Hum wahan ki al farooq nami aik masjid main paunche. Namaz ke dauran bhi main ne us shaks ko dekha jis ne bare khasu-o-khazu se namaz ada ki. Phir masjid ke bahir lage aik stall se samose khareede, jeb se rumal nikal ker zameen pe betha, samose khaye aur wahin glass se sand pe haath dhoya. Ab jaake logon ne pechana ke ye naujawan koi aur nahi bulke India ka mashur musician A R Rehman hai. Log us ke gird jama hona shuru huwe to us ne autograph dene se ye keh ker maazrat ker li ke yahan main sirf apne allah ka aik banda hun, please mujhe yahan is se muaf rakhain. Kuch der baad A R rehman aik dost ki gari main beth ker wahan se chal diya.

A R rehman ka pura naam Allah Rakha Rehman hai. Itne mashur aadmi ka itna purana naam ! Aaye dekhte hain, is shaks ne apna naam Allah Rakha Rehman kiun rakha.

A R rehman ka asli naam Dilip Kumar tha. Dilip ki umer sirf 9 baras thi ke walid ka intiqal ho gaya aur gurbat ne ghar dekh liya. Dilip ko musiqi ka shoq baap se werse main mila magar halat ab badal chuke the. Pehli naukri, sirf 50 rupe ki, 12 baras ki umer main aik studio main shuru ki. 16 baras ki umer main parhai chut gai. Jub Dilip ki umer 22 baras hui to us ki aik bahen shadeed bimar ho gai. Kai doctors ko dikhaya magar halat bigarti hi chali gai. Hur jaga se mayoosi hui to unhon ne aik muslaman wali, Pir Karimulla Shah Qadri se dua ki darkhwast ki. Unki Dua qabool hui aur Dilip ki bahen ko nai zindagi mil gai. Sara Gharana musalman ho gaya. Dilip ne apne liye bhi dua ki istada ki. Ye Dua bhi qabul hui aur aaj A R Rehman India ka sab se bara musician hai. Pir Qadri ne hi Dilip ka musalman naam Allah Rakha Rehman rukha. Kehte hain unhon ne A R REhman ko naseehat ki ke jub music compose karo isha ki namaz parh ker dua maang ke karo. A R Rehman sirf raat ko music compose kerta hai !!

Allah ne na sirf A R Rehman ko music compose kerne ka hunar diya bulke bari achhi awaz bhi di hai. Jub film 'dil se' bani to kehte hain, har koi ye gana (dil se) gane se jub bebas huwa to A R Rehman ne khud gaya aur aesa gaya ke sunte hi dilon main utar gaya. (Despite being malyalam speaking he sang it like a native urdu person).

Aik din meri gaari main, aik gore dost ne ye gana suna to kaha: "Whoever made this song is certainly not an ordinary man" ! Aur main ne jawab diya: "Indeed he is not an ordinary man. He is gifted and protected by God. His name is Allah Rakha Rehman".


Izzat, daulat, shaurat allah ka inam hai jise chahe be-hisab de !

3 comments:

Anonymous said...

hmmm...I don't know how I feel about this. Jitni asaani say woh sub aik muslim doctor ki "waja" say Allah ki taruf aye...waisay hi koi aur insaan kisi aur taruf nahi ja sakta?

In the end baat tou yehi hoyi keh he is a good muslim (I hope) and that is alhamdulilah bohut khushi ki baat.

As for music...sigh...this query shall bother me till ..till I don't know when. Sahi hai keh ghalat yeh music aur ager Allah ka naam leh kar music banao...is that sahi or ghalat if HE has forbidden it.

confuzEd

Anonymous said...

My point for this post to verbalize 2 things..

1) Dua works sp. from mystics and other saints..

2) Izzat, daulat, shaurat allah ka inam hai jise chahe be-hisab de !

I don't think, it does matter - whrther you are muslim or not but it all goes with "chasme-karam" of higher being.

Anonymous said...

For me...music was never forbidden in Islam.

Even when prophet entered Madina and other occasions after holy wars, women folk welcomed him with
music.