Thursday, February 07, 2008

Naushad

Is post ko A R Rehman pe likhi gai peechli post ka tasalsul hi samjh lijye. Woh post likhne ka mera maqsad ye bayan kerna tha ke aksar buzurgon ki dua insan ke kaam ker jaati hai.


Aaj ki Bollywood ki music ka "Mughal-e-Azam", musiqar Naushad ko kehte hain. Naushad ka ye waqiya A R Rehman ki post likhte zahen main aa raha tha, to socha likhta chalun.

Naushad ko musiqar banne ka shoq 16 baras ki umer main Bombay le aaya. Ye 1935 - 1940 ke darmiyan ka zamana tha. Naushad ne film industry ke kai dhakke khaye magar koi 'chance' nahi mila. Saari jama punji khatam hone lagi. Nobat footpath pe sone ki aa gai.

Aik roz isi gurbat main aik faqeer ne Naushad se kaha: "khana khila de baba". Naushad ne use apne saath roadside hotel pe khana khilane bitha liya. Khane ke baad baba ne poocha: "Bol kiya mangta hai". Nashuad ne kaha"Baba dua karo mujhe filmon main chance mil jaaye". Baba ne kaha: "Ja bachha tuje hindustan ka sab se bara musiqar bana diya". Allah jane us baba ki dua lagi ya nahi magar Naushad beshaq hindustan ki bollwood ka "Mughal-e-Azam of music" qarar paya jisne Jadoo, Beiju Bawra, Mother India, Mughle Azam aur Pakeezah jesi filmon ki lazawal musiqi tarteeb di !

2 comments:

Anonymous said...

Big mistake dear.Nashad and Naushad were two different music directors.You r probably talking about naushad.Let me tell you that Nashad earlier known as shaukat delhvi was also a great music director who later on migrated to pakistan.You must have heard
songs of baradari like talat mahmood's Tasveer Banata hoon tasveer nahi banati.This song was scored by Nashad.
I hope u correct urself
Harish

mystic-soul said...

You are right... It was Naushad. Let me correct.