Meri aik cousin hai arifa. Ab ki baar main Pakistan gaya to Arifa aur us ka shohar mujhe dinner pe ley gaye. Main ne mehsus kiya, arifa ka shohar hur cheez apni biwi se pooch pooch ker kerta hai. Arifa se mere taaluqat shuru se doston wale rahe. Hum ne Banu Qudsia ki 'Raja Gidh' saath parhi aur samjhi, faraq itna tha ke tub meri umer 27 baras aur us ki umer sirf 14 baras thi (ye baat is liye likhi taake aap ko us ki IQ ka andaza ho jaye) !
Jub Restaurant main Arifa ka Shohar restroom gaya to main ne arifa se kaha: "Do bachhe hone ke baad bhi shohar tumhari muthi main band hai. Kiya taaweez kerti ho?" . Uska jawab sun ke kuch der ke liye mere hosh ur gaye. Us ne kaha: "Ye mard bilkul kutte ki tarah hota hai. Jub tuk is ko khana (food) aur sex waqt se pehle milta rahe is ki dum hilti rehti hai werna pagal hoke aap hi ko katne dorta hai. Bus yahi 2 taweez kerti hun" !!
Mard ki, is se achhi taarif main ne nahi suni !!!
11 comments:
Aur agar is kutte ki thori juthi taareef ker ke uski ego phula do to pura ka pura control main rehta hai...
u go girl arifa
its getting out of hand now !!..lol
Thats a bit simplistic and fairy tale view. There is a breed of Kuttai that are rabied and no matter what u do, they cant help barking at u and biting u.
Sub dua kaileay haath utthain. Allah sab shareef aur naik larkion ko aisai pagal kutton sai bachaye aur sab ko Food&Sex per razi honai walai kuttai naseeb fermaye. Ameen.
Wow..ur post has almost made this kutta label legitimate.
I wonder how baicharai animal kutta r taking this... must be feeling outraged
I am sure real 'animal kutta' feel outraged on few ppl.
Per one of my friend, some guys are so cruel,..ke kutte bhi kehte honge..kia kutta hai..
Kuton ko badnam na kia jaay jay kyun kai ayesi 3 kution kay rakhnay ka bad bhi 4 mil jate hay kya kahyal hay ????
to goya sabit huwa..
Hum sab kutte kutia hain... ayyyya
Life is a bitch, one question though?
Larkian tou angel hoti hain na unko food chahyie aur na unki koi "desires" hoti hain.
I think, its not gender specific. We generalize but its all person to person.
Main to khak nahin samjhi keh khuamkha baat ka batangarr kiun bana lia gaya? Aiuk muamlay main kisi ne apni raye di, to woh raye koi universal truth to ho nahin gayee. Abb yeh to aap mard hazraat ki aqal hai keh aik sahab to baat sun kar ash ash kar uthay..baqi sub bokhlaye bokhlaye comments dene lagay.
Dear Shama,
There is nothing universal in this blog. This blog is all about how people percieve life and relationship differently. Most comments were just jokes, I guess.
lanat hai tmhari soch par or os randi par jo esa keh rahi hai os ka bap bhe mard hai wo bhe kutta hai jis ney esi kutti randi ko peda keya
Post a Comment