Friday, February 15, 2008

Bud-Dua

Agar aap ko kuch dinon pehle, sir aleem ke hawale se sukh dukh wali post yaad ho (here) to wahi bahes 2 mahine pehle, Karachi ke aik chai khane pe hum doston main chalti rahi. Jo dost muttafiq nahi the un me se aik Akram tha. Akram mere saath medical school main raha. Phir wahin kisi sarkari hospital main 10/12 baras se kaam ker raha hai aur saath saath sham main aik private dispensary chalata hai.

Main wapas USA aa gaya. Abhi aik hafta pehle Akram se phone pe baat hui to usne ooper wali sukh aur dukh ki bahes ka hawala diya. Aage ka haal Akram ki zabani suniye:


"Mere bikul paros main peechle kai barson se aik khandan abad hai. Un ki aik jawan lurki hai. Main saare zamane se ye kehta phirta tha ke ye meri mun boli bahen hai magar meri niyyat kharab thi. Lurki se mere aahista aahista na-jaaiz taaluqat qaim ho gaye. Lurki bhi jawan thi, usko bhi maza lug gaya. Jub moqa milta, hum don apne kaam main lug jaate. Aik taraf to main bare tharre se zana kerta rehta aur dusri taraf lurki ki ma ko ye yaqeen dilata rehta ke ye to meri choti bahen ki tarah hai. Ye 27 december ki baat hai. Main aur woh lurki "ain urooje wisal ke aalam" main the ke lurki ki amma ne pakar liya. Woh beechari kiya kerti. Mujhe khub kosne diye. Bad-dua dete huwe boli: "Allah kare tera sab kuch barbad ho jaaye".

Is waqiye ke baad main ne mazeed shor sharabe se bachne ke liye foran kupre pehne, bahir nikla, car nikali aur apartment complex se bahir aa gaya. Main ne bare barson ki kamai se 2 hafte pehle nai gari kharidi thi. Abhi to insurance bhi nahi liya tha. Aur aaj hi bank se bohut saari raqam niklwai thi. Apna makan khareedne ki baat cheet chal rahi thi, woh cash maang rahe the. Bus samjho saari jama punji gari main thi. Sham ka waqt tha. Sarak pe aate hi andaza huwa ke koi garbar hai. Ye woh sham thi jub Benazir ka qatal huwa aur poore Pakistan main khun ki holi kheli gai. Yun to suna hai poore shahr se police gaib thi magar mere apartment ke bahir sarak pe police ki 3 mobile maujud thi. Jese hi main gari le ker zara aage gaya, aik traffic constable ne mujhe gari side pe kerne ko kaha. Saath hi police mobile khari thi. Main gari se utar ker bahir aaya. Police wale ne mere ulte kaandhe pe ooper ungli rukh ke dabani shuru ki. Pata nahi ye kesa dao tha, mujhe gasshi ai aur main behosh ho gaya. Shayed meri carotid ko dabaya gaya. Aankh khuli to meri car simat police wagera sab gaib the aur charon taraf aag aur dhuwain ke badal the".

Meri 10 baras ki saari kamai lut gai. Main zaani(adulterous) zaroor tha magar kubhi haram paisa nahi khaya. Medicine bhi imandari se practice kerta tha is liye ziyada daulat nahi kamai. Magar shayed tumhari baat sach thi. Amma ki bad-dua lug gai ke mera sab kuch barbad ho gaya !

3 comments:

Anonymous said...

hmmm....that left a very bitter taste in the mouth. Humain idher sikhaya jata yeh bura woh bura..jub apne mulk main hi itni ghatiyaa harkaatain hoti hain tou dil tootTa..children get confused.

Sigh..I'm sorry this sounds like a judgmental comment. Itni bari ghaltiaun jub itnay "respectable" person say hoti hain tou...sigh..

Anonymous said...

Haram ka asar hay sara jhot kai haram nahenkamaya haramkanaya nahenhoga kahyal zaror hoga zarori nahenkai insan nasal say hi harame hoo ab yaad rahay gay sare life Allah ka eik sifaate naam "Aadil" bhi hay

Anonymous said...

Annony 1 - sab kuch hi ho raha hai wahan - sex, drugs, fraud etc... (its worse in many cases there). Believe me, its much much secure to raise kids here with legal parental control.

Annony 2 - You are right ! Haram, doesn't mean only in financial sense but it covers all aspects of ethics !