Tuesday, February 12, 2008

Dus Kahaniyan

Do char din pehle main ne puranmaasi ki jo post likhi thi us ke continuation main, film "Dus Kahaniyan" pe ye post hai.

This movie is an experiment but what I found unique is the short quick version of basic themes in the form of 10 minutes story. All stories are related to human relationship.


Matrimony - Aksar relationship main husband ya wife ye sochte hain ke hamare spouse ke liye hamare paas time nahi. This lack of communication may push one to cheat and to find love somewhere else. But before you cross that line - think - your partner may be going on the same path !!

High On the Highway - Agar kubhi insan ke saath aesa waqiya ho jaaye ke woh apne 'loved one' ki hifazat na ker paaye to ye chot insan ko kubhi kubhi aese depression main dhakel deti hai ke khud -kushi se hi nijat milti hai ! Mohabbat ki aik dark ally.


Puranmaasi - As annonymous in previous post nicely explained in comments "in our society and culture the actions/lives of each member is attached to the other...kachaye dhagaye"

Zahir - Insan jese nazar aate hain us se kai ziyada dukhi hote hain aur agar koi aap ko apne qareeb aane se rokta hai to shayed woh aap ka bhala chahta hai.

Strangers in the Night - Kubhi kubhi sirf insani rishte ko bachane ke liye galeez tareen rah apnani parti hai.

Lovedale - Aksar qudrat hame ishare deti hai ke kise apna jeewan sathi chunain aur kise nahi - if we understand !

Sex On The Beach - Lust ka bhoot agar insan pe char jaaye to jaan le ker hi chorta hai !

Rice Plate - Kubhi kubhi insan ki 'too much religiosity' use aam insani rishton se andha ker deti hai.

Gubbare - Aik mian biwi ki 35 years ki 'married life' ki kahani ke roz roz ki larai ke bawjud kese mohabbat qaim rehti hai, agar aik dusre ko manane ka saliqa maujud ho. Aur kubhi kubhi zara si choti larai zindagi bhar ka dukh de jaati hai.


Rise and Fall - Bachpun ki dosti aik aesa bandhan hai jo bahek to sakta hai magar kubhi toot nahi sakta !

No comments: