Tuesday, November 18, 2008

Embraced by Desert

(Heard while talking to someone in a coffee shop)

Main ne apni zindagi ka beshtar hissa 'indian civil service' main guzara. Retire hone se kuch arsa pehle meri taayinaati (deputation) "district churu” main ho gai. Ye ilaqa Rajhastan ke shehra (desert) main hai aur shayed naqse pe dhundhna bhi mushkil ho. Wahan din main darjaye harart 50 C tuk aur raat main shadeed sard ho jata hai. Main akela wahan chala gaya. Dil main yahi sochta raha ke: ‘Kaun jaane, kese ye din katain ge’. Ajeeb ajeeb hol (fear) dil main uthte rahe.

Pehli subah, sawere sawere meri aankh khul gai. Main ne jese hi darwaza khola, aik taza hawa ka jhonka aaya aur mujhe yun mehsoos huwa jese – “I have been embraced by cool breeze of desert”. Main ne hulke hulke suroN main indian classical music laga di. Itni dair main naukar shave ke liye paani aur garam chai le aaya.


Subah sawere ki us thandi ‘breeze’ aur shehra ke us sakoot main jo sukoon pinhaN tha, woh na to mujhe America ki kisi wadi main mayyasar aaya aur na hi inglistan ki sard raatoN main.

Desert has its own beauty !

3 comments:

bsc said...

Mainay suna tha keh Saudi badshahun nay badduon kay liyay makanat banwa diyay thay laikin woh phir apnay tanbuon main jaker rehtay aur wahin sotay thay. Unhain shehr ki faza pasand nahin aati thee.
Yeh bat samajh main aarahi hay.

Anonymous said...

I think, with modern technology and building cities with concrete, we are fastly loosing touch with nature !!

Anonymous said...

@bsc : i think it was a good decision by the bediouns. The biggest test is to live as simple as possible in such a complicated high-tech world...yet it varies from person to person.