Monday, November 03, 2008

People's Disease

Being a physician, one lesson I learned : "People's disease is a very private thing and it should not be brought for discussion unless and as appropriate needed. People get hurt !"


Azam koi dus baras mera class fellow reha ! Pehli se dasweeN jamat tuk hum aik hi class main rahe. Azam ko shuru se hi darde-shikam (Abdominal pain) ka problem tha. Diarrhea kubhi itna shadeed hota ke dinoN school se gaib rehta. Aksar class main use vomitting ho jaati. Aksar khabar aati Azam hospital main hai. Kai baar hum use uski amma ke saath clinic ya sarkari hospital se aata dekhte. NaweeN aur DasweeN main Azam mere saath tha. Bohut dosti rahi. Phir main aage chala gaya. Azam kisi aur college chala gaya. BarsoN beet gaye.

Jub main ne residency khatam ki to state license ke liye mujhe kuch papers attest kerwane school jana para. Azam ab bhi school ke aas paas usi makan main rehta tha. Junhi main school se nikla woh aik dam se saamne aa gaya. Ab bhi yunhi dubla patla jism tha. Lagta tha bimari ne uski jaan nahi chori thi. Jub salam dua khatam hui to mujhe kuch samjh nahi aaya ke kiya baat karun. Main ne be-khayali main poocha: "Ab tumhari bimari kesi hai ?" Us ke chehre pe aik rang aaya aur guzar gaya. Usne gol mol sa jawab de diya, magar meri baat se use jo takleef hui woh saaf ayaN thi.

Aaj bhi uska chehra yad aata hai to dil main nadamat aur aik kasak si uthti hai !

4 comments:

Anonymous said...

i am sorry.i dont understand why would he mind if somebody asked about his health.he must have some idea in his head that you knew him from childhood.right?

Anonymous said...

I guess, its just hard for people to accept their infirmity or weaknesses. Being a physician, I learned, people psychology want respect and privacy for their disease and they deserve it.

Sidra said...

I've noticed Pakistani people are very private about their illnesses, while American people love volunteering such info..i wonder why?

mystic-soul said...

Desi culture treat disease as weakness and people just put so much negativity with it that its hard for people to face society.