Wednesday, November 19, 2008

"The Scream"...aur Dadi Kulsum

Montreal ki sard raatoN main, main ne jub pehli baar Rohinton Mistry ki Kahani “The Scream” parhi to mera pehla reaction ye tha ke: “I didn’t expect such a mediocre work from such a big writer” but …I was wrong.

Rohinton Mistry’s short story “The scream” has recently been published with simultaneous impressive combination of 'mix media' artistic drawings of Tony Urquhart. It’s a project of World Literacy of Canada.

Jub main Montreal se Toronto wapas aaya to Amma ne kaha: “Jaane se pehle Kulsum Dadi se zaroor milte jaana, agli baar tak shayed woh is duniya main na rahain”. Main Kulsum Dadi se milne gaya to haddion (bones) ka aik dhancha bister pe para tha. Woh mujhe nahi pehchaniN. Kuch alfaz unke honton pe aye magar kisi ki samajh naa aaye. Kulsum Dadi ki umer 89 baras hai. Unhon ne khandan ke har fard ko godoN khilaya magar ab aalame-nazah (death bed) main pari hain…..To my doctor eye she appeared very anemic.... Ghar walon ne bataya, 'decub. ulcers' ke baais...... she is in severe pain... 'Hospital bed' ka intizam hai aur timardari ke liye full time ‘caretaker’ hai magar jis azziyat se woh guzar rahi hain main use koi naam nahi de paya.

Mujhe us aik lamhe main, jub Kulsum dadi ki aankhon se aansoN ke do qatre dhalak ke side pe gire – Rohinton Mistry ki kahani “The Scream” main chupe dukh ki gherayion ka andaza huwa. Aik umar raseeda shakhs apne aakhri ayyam main jis nafsiyati ‘mind set’ se guzarta hai woh mujhe samjh aa gai.

Main ne us kahani ko aik baar phir se parha…aur kafi dair tak airplane ki seat se sir tikaye betha raha………….There is a reason, I think Rohinton Mistry is one of the greatest writer of modern time!

No comments: