Friday, November 28, 2008

Nightmare

Is baar bhi jub meri aankh, us khawab se khuli to mera poora badan paseene se sharabor tha.

Ye khawab main ne jub se hosh sambhala mujhe aksar aata hai, jis main aik khunkhuwar, gali ka mela kutta (stray wild dog) - jis ke badan pe kaale kaale daag hain meri taraf dekh ke bhonkta rehta hai. Jub bhi ye khawab aata hai, uske kuch hi dinoN main koi na-khushgawar hadsa zaroor ronuma hota hai.

Ab ki baar ye khawab thora mukhtaleef tha. Is baar us khunkhuwar kutte ne bhonkte huwe mere chehre ki taraf chalang lagaii - phir hosh nahi raha ke kiya huwa!

Aankh khuli to tez bukhar se badan garam tha, poora bister tar tha, dharkanaiN tez thi aur aik anjaane khauf ne poore kamre ko apni girafat main lapet rakkha tha!

8 comments:

Anonymous said...

Aisa khawab aye to sadqa dia kijeay. Sadqa balaon ko talta hai. aur khawab kai baad aankh khulnai per bayein taraf teen dafa lahol wala... parrh ker thook dejeay.

Aur agar ye siraf aik kahani thi to kuch na kijeay aur dejeay, bas karwat badal kai so jayeay.

Anonymous said...

I rely on surah falaq!

Sadqa - hmmmm ,,,I better be...

Anonymous said...

Its nothing but your childhood fear...

bsc said...

I agree for sadaqa, what anonymous said is very true.
I would do it in any case.

Anonymous said...

May Allah protect you from all sorts of evil.

Waisay kehtay hai ke bura khwab kabhi sunatay nahi kisi ko bhi aur bura khwaab hamesha shaytan ki taraf se aata hai. For that Prophet Muhammad (SAWS) has advised muslims to recite ayat-ul-kursi before you go to sleep and no shaytan will come near you until morning.

Do give sadka...

Allah bless You

Anonymous said...

I donated money to a local charity...May Alaah accept it..

Anonymous said...

Dream interpretations is a good site to find out about your dreams

Anonymous said...

I checked your suggested site and found following:

" If the dog is vicious and/or growling, then it signifies some inner conflict within yourself. It may indicate betrayal and untrustworthiness"