Monday, May 18, 2009

Rizq

Ye koi 1988-89 ki baat rahi hogi. Main Medical School main tha. Parhai likhai to kum hi hoti thi, ziyada tar waqt 'canteen' main katta tha. Poora din lateefeh, shayerii, siyasat aur 'chai samose' chalte rehte the.

Aik roz main canteen ke kinare aik unchi pahari pe betha tha. Saamne 'bench' pe 'chai samose' rakhe the aur main ne 'bench' pe paun rakha huwa tha. 'Chai samose' mere paun ke saath pare the.

Saath hi thori dur aik baba ji khana kha rahe the. UnhoN ne mujhe toka ke: "Beta! rizq ke saath paun nahi rakhte - behurmati hoti hai".

Hum jawani ke zom main hote the. Main ne kaha: "O Babaji ! apne kaam se kaam rakho - ziyada maulvi banne ki zaroorat nahi hai". Babaji chup ho gaye.

Bus unhon ne ye kaha: "Allah tumhe rizq ki izzat kerne ki taufiq de"

Is baat ko 20 baras guzar gaye. Mujhe ye baat zara yaad na rahi. Itne barsoN main jub zindagi ki charkhi ki kaat lagi to ye baat samjh aai ke - rizq Allah ki taraf se aata hai. Insaan ki mehnat aik saanwi (secondary) si cheez hai.

Aaj sham main hospital se wapas aaya to mera beta sofe pe beth ke khana kha raha tha. Us ke paun saamne table pe rizq ke saath pare the. Main ne kaha: "Bete paun neeche rakho. Rizq ki behurmati hoti hai".

Mere Bete ne paun neeche to rakh diye, magar kaha: "Com'on daddy - what difference does it make?"

Mujhe aesa laga, jo thappar mujhe 20 baras pehle parna chahiye tha woh aaj par gaya. Khuda ki be-awaz lathi. Aik dum se 20 baras pehle wale babaji ka chehra yun saamne aa gaya jese do pal pehle ki baat ho.

Apni harkat ki saza khuda mujhe yun dega - socha na tha!

Allah hum sab ko apne rizq ki izzat kerne ki taufeeq ata farmaye - Aameen

No comments: