Saturday, May 09, 2009

Ameer Khan

Modern sufi ki post likhte huwe mujhe Ameer Khan bohat yaad aa rahe the.

Agar aap ko meri aik purani post Amma ki Dua yaad ho to - main ne aik American-Pakistani physician Dr. Saima ka zikar kiya tha. Ameer Khan unke shohar hote hain.

Peechle saal main ne Africa main aik charity project main participate kiya tha. Ittafaq se Dr. Saima mere saath thiN. Jub hum sab pehli dafa 'kampala' ke 'hawaii adde' pe mile to Ameer Khan se meri mulaqat hui. Bazla-sanj (witty) aadmi the, hamari achhi dosti ho gai. Pehle to main ye samjha ke Ameer Khan bhi doctor hain magar phir pata laga ke woh to 'computer engineer' hain. Main ne yunhi keh diya; "Aap aa to gaye ho magar aap poore 2 hafte hamare saath karo ge kiya?". UnhoN ne jawab diya: "Abhi socha nahi hai. Apne line ki koi cheez dhundh ker main bhi koi charity kaam ker lunga". Ab suniye unhoN ne kiya kiya.

Hum jitne din clinic aur hospital main training kerte rahe, Ameer Khan 'kampala' ki mashoor 'Owino market' se 3 computer khareed laye. Hospital ke IT department se internet connection lagwaya - Hospital se 10-12 burhe (65 years and above) jama kiye aur un ko ye training deni shuru kerdi ke 'email' kese kerte hain. Main ne kaha - 'aap ko ye khayal kiun aaya? aur aakhir is ka kiya faida?'.

Unhon ne jawab diya: "In burhoN ke bachhe in se dur hain. Aaj ki nasal bus email kerti hai. Koi in burhe ma-baap ko khat nahi likhta. Main ne hospital main announcement bhijwaya to ye 12 burhe mil gaye. Ye burhe agar - 'how are you?', 'call me' wagera jesi choti choti email kerna bhi sikh lain to in ke dil ko kitna qarar rahe". (Just a note - cell phone is very very expensive in Uganda). Unhon ne aage bataya: "Main ne yeh 3 computer yahan sirf isi kaam ke liye donate ker diye hain ke ye burhe apni aulad se ba-asani contact rakh sakain"

Khuda kay aashiq to haiN hazarooN,
banoN main phirtay haiN, maaray maaray
MaiN uss ka bunda banooN ga,
jiss ko Khuda kay bundoN say payar hoga

No comments: