Monday, October 01, 2012

DuaoN ka safar!

Ghayas Bhai na to doctor the aur na hi hamare koi rishtedar. Ab to theek tarah yaad bhi nahi aata ke - kab kahan kese - unse mulaqat hui. Unki sadar ke ilaqe main bikul 'bus stop' ke sath ghari ki dukan thi aur shayed yunhi kisi bahane baat cheet ka silsila chal nikla hoga.

Jab kabhi unke paas do minute ke liye rukta - woh har baar chalte huwe mera haat tham ke kehte: "Dekho pareshan na hona, apna khayal rakhna, achha! - Allah tumhara nigheban hoga"....Aur mujhe yun lagta jese badloN ka aik saya mere sir se guzar gaya....Phir to yun huwa ke sirf unki dua simatne main unki dukan pe rasta badal ke ther jata.

Zindagi main kai azab aaye magar jab kabhi akela hua ya himmat tuti to ghayas bhai yaad aa gaye.

...Yun lagta jese  mere 'cerebral cortex' main ghayas bhai ki duaoN ka Imam zamin bandha ho!

Kuch dinoN pehle khawab main kiya dekhta hun ke, mera aik bhateejah bohat beemar hai. Main ne use phone kiya - sab khariyat hi thi magar ghayas bhai ki di hui dua ko main ne phone rakhte huwe aage barha diya - "Dekho pareshan na hona, apna khayal rakhna, achha! - Allah tumhara nigheban hoga"...

Aadmi to main kafir hun! ye to nahi malum ke duaoN ka kitna asar hota hai - magar ghayas bhai jese khubsurat logon ki khubsarat duaon ka safar chalta rahe to achha hai....

4 comments:

beyond said...

kya khobsorat baat hai.Allah hamari dua ko kabool ker le.Ameen.

mystic-soul said...

Aameen!

Anjani said...

Kuch Ghadiyan badi kabuliyat ki hoti hai Allah na jaane kis ghadi mein humari duaon ko kaboll kar le

bsc said...

Meray baccho! Allah mian kay haN her dua jati hay awr dua dinay waly awr jis kay haq main hoti hay aik "khazanay say miN jma'a ho jati hay
Allah mian an kay hisab say kam kertay haiN her dua kahiN na kahiN lagti hay awr Allah say behter kaun ho skta hay faisla kernay wala
dua kbhi raigaN nhiN jati (I have placed this in my words but from Hadeeth Shareef)