Friday, November 09, 2012

DuaoN ka saaiban

Aik woh waqt tha jab Mirza Ghalib 'Dilli' ki khak chana kerte the magar darbar tak rasaai ki koi sabeel nahi ban aati thi - aur har taraf Ustad Zauq ka tooti bolta tha.

Kehte hain, Dilli ki aik gaane wali tawaif 'Nawab Jan' ko Mirza Ghalib ki ghazal pasand aa gai. Jab use Mirza ki halat ka ilm huwa to us ne Mirza se kaha: "Mere Aulia (Hazrat Nizamuddin) ne meri har Dua qabool ki hai. Hum Dua kerte hain - aik din Aap dilli ke sab se bare shayer khelain" - Dekh lijye, Ghalib se bara koi shayer paida nahi huwa.

Wese bhi kehte hain - tawaif ki dua main bara asar hota hai!!

Mujeh ye kehne main ko aar nahi ke - mujh per bhi aesi kai duaoN ka saaiban hai! - werna hamara Allah jaanta hai - hum to kab ke mar gaye hote!!


Related: Amma ki Dua




No comments: