Saturday, October 12, 2013

Asghar ka Makan!

Asghar ka makan school ke saath tha. Woh ahle-tashee (shia) the. Muharram ka mahina aate hi Asghar ka school main mazaq banna shuru ho jata. Hum sab na-samjh the. Us ko galeez namoN se pukarte. Zor zor se sab mil ker matam ka mazaq urate. Line bana ker school ke corridor main nikalte aur gaate jaate "Ya Hussain hum na the, Haleem khane main kum na the". .....Asghar chup rehta. Aik din kisi ne kaha: "Abe kuch to bol", to us ne jawab diya: "Karbala se jise sabar ki matti naseeb na hui woh abhi shia nahi huwa" (ye baat mujeh barsoN baad samajh aayi). 

Aathween, naween aur dasween (8th, 9th and 10th)  Muharrum ko Asghar ke makan per woh matam sajta ke Allah ki panah! Hamare abba matam dekhne ko mayub samjhte the magar hum phir bhi jaate, sharbat peete aur matam dekhte. ZanjeeroN ki jhankar,  lal dahakte koiloN ki angaar aur zaar-o-qatar rone ki woh qayamat bapa hoti ke dil dahal jaata. Kabhi kabhi to itna dar lagta ke us raat neend na aati. Yun lagta ke koi hamare kaan main ro raha hai!

Phir school khatam huwa, hum ne purana mohalla chor diya. 1980s main jab Karachi main Shia Sunni fasadat huwe to pata laga balwaiiyoN ne Asghar ka makan jala diya. Main jala huwa makan dekhne gaya to mera to dil hi ruk gaya. Bohat arse woh makan yunhi para raha. Log kehte Muharram ki tin raaton main - jale makan se - noha-kanaii ki awazain aati hain. Phir kisi ne woh makan khareed liya. Allah jane Asghar wale kahan gaye?

Us Makan main kai makeen aaye magar wahan koi abad na ho saka. Har saal do saal pe makeen badal jaate. Mujeh ye baat pata lagi to main ne socha chal ker dekhna chahiye. Main ne apne dost Ejaz se kaha chalte hain..

Dasween Muharram ki raat thi. SarkaiN sunsaan thi. Hum purane mohalle main paunche to woh makan Gair-abad tha. Poore makan pe andhera chaya tha. SaRak ke barqi qumqume (street lights) bhi gul the. Andhere ki apni dahshat hoti hai. Makan ki deewarain choti thiN. Hum deewar phalang ker andhere makan main daakhil huwe. Abhi band darwaze ki taraf barhe hi the ke khirkioN se siskiOn ki awazain aa rahi thi. Phir yun laga jese kisi ne 'Zainab' keh ker pukara ho! Hum ne kaha ya Ilahi ye kiya majra hai? Darwaze pe bara sa taala laga tha. Hum andhere main deewar tatolte tatolte ghar ke peechle aangan ki taraf gaye to yun laga ghar ki deewaron se matam ki awazain aa rahi hai. Ejaz ne meri guddi dabochi aur bola - bhag yaar! Hum peechli deewar kud ke jo bhage to bazaar main aa ke dum liya!

Ho sakta hai, ye hamare andar ka dar, wahma ya waswase ki taqat ho - ya phir hamare nana ki baat theek thi ke:

"Logon ka rona hasna - unke aehsasat, jazbat, duain, aarzuain, khawab, khusbuaiN - sab kuch - rang chune ki tarah - makan ke dar-o-deewar main rach bas jaata hai. Kuch makan khub abad hote hain aur kuch makan apne andar kisi ko basne nahi dete."

2 comments:

bsc said...

I am late on this but It seems Shia have become targets of violence now, as you must have read about what happened to American shia Muslims on Hajj.
It is so painful for me to see these Salafi or Wahabi Muslim extemists who very much like Kharjis consider other Muslims as "kafir" and even in such sacred place they threaten to kill Muslim men and worst of all rape women. How can we consider such Salafi-Wahabis as Muslims? I consider myself shia when it comes to respect and love for "panjtan pak" but not shia when they start if it comes to hatred of other Sahaba like Umar RA.

mystic-soul said...

I have seen both extreme ends and can't agree more.