Friday, August 07, 2015

Zakat (Jurmana-2)

Main ne aik blogpost (click Jurmana) pe Naeem sahab ka zikar kiya tha. Unki 2 aur batain mujeh yaad aati hain. Ye woh umar thi, jab aadmi dusroN se bewaqoofana sawal pooch leta hai, aur bolne se pehle sochta nahi. Main ne un se poocha:

"To phir aap kitne muslman hain?"

Unhon ne jawab diya: "Qalma parh ker muslman ho gaya magar namaz nahi parhta, roze nahi raktha. Haj ab tak nahi kiya - magar haan zakat zaroor hisab se de deta hun?"

"woh kiun?"

"Woh is liye, ke main ne zindagi main dekha hai ke aik insan, dusre insaan ko sab kuch muaaf ker deta hai, magar ziyada ter log aik dusre ko paise muaaf nahi kerte - insaan lalchi aur harees jo thera. Rab ne insaan ko apni surat banaya hai, to sochta hun namaz roze, haj se to bachat ho jaaye gi magar zakat dusre insaano ka haq hai, woh mujhe nahi choRain ge - aur is muamle main na rab choRe ga. Bus khud ki bachat ke liye ye technical game khelta hun"

Main is mantiq pe sir khujata reh gaya.
  
Ye duniya ajeeb ajeeb hoshruba insanon se bhari hai !!!

1 comment:

bsc said...

Yeah, falsfa yeh hay "Huqooq-ul Ibaad" awr "Huqooqullah"
True the othe human beings have their rights on you. See Sura "al-Maarij"(#79) ayat 24 and 25 (Please do see the meanings and tafseer
and S. Azdzdaariyaat" (#51) Aya19
Allah SWT calls this Zakat/khairaat which although you are giving as 'volunteering' aRIGHT OF THE PEOPLE who have nothing and even they do not ask for it. It is as though God has given this one hundred dollars to you with the condition that two dollars and fifty cents are not yours but 'theirs' and your are only ninetyseven and fity