Sunday, February 14, 2016

Kamzor lamhe - 2

(Almost 10 years ago, I blogged a little post on kamzor lamhe here )

Har insaan ki zindagi main 2 tarah ke kamzor lamhe aate hain. 

Aik to woh jis main insaan maayus ho jaata hai, bad-dil ho jata hai, ro paRta hai, udas ho jaata hai, zabt ke saare bandhan TooT jaate hain, insaan kisi ke aage vent bhi ker leta hai.

Magar aik kamzor lamha woh bhi hota hai jis se insaan dusre logon ke haaton do char ho jaata hai.  Jab insaan ko apni izzate-nafs bachane ki zaroorat paR jaati hai. Insaan ki self-respect dao pe lag jaati hai.  Ye woh lamhe hote hain jab khamoshi jurm ban jaati hai. 

Ye woh lamhe hote hain, jin ki aik saa'at main sadioN ki qayamataiN saath guzar jaati hain

Mujeh zindani main kabhi kisi baat ka regret nahi raha: siwaaye un lamhoN ke,  jab mujeh apne aap ko bachana chahiye tha, bolna chahiye tha, walk out ker jaana chahiye tha, aehtjaj kerna chahiye tha.... 

Sabir hone main aur kamzor hone main aik bohat hi baareek lakeer hoti hai.

7 comments:

Beyond said...

I think it is a lost battle. Shoulda, coulda, woulda. Kisi insaan ko iss baat se kuch nahin mila. Ye aap ke ego hoti hai jo aap ko baar baar kehti hai. Why did I not speak up etc etc. Koi faida nahin. Jo howa, so ho gya. Acha ya bura, kya ker saktey hain

mystic-soul said...

Huwe mar ke hum jo ruswa,
huwe kiun na garqe darya

mehnaz said...
This comment has been removed by the author.
mehnaz said...

No one can beat us better than we beat ourselves up- forgive your self and move on, the only way to deal with this and be peaceful. You could still be angry at yourself but not will not hate yourself.
Paulo coelho says that we drown not by falling in a river but by being submerged in it.




















Rida said...

ہمارے لہجے میں یہ توازن بڑی صعوبت کے بعد آیا
کئی مزاجوں کے دشت دیکھے کئی رویوں کی خاک چھانی

bsc said...

I liked this she'r
However the reminder of kamzor lamha is very very true. Even though suggestion of "fotgive yourself and move on" is good but sometimes the effects of kamzor lamha may be more lasting even lifetime.
Typical of mystic where does he get such inspiring and khufia "philosophical questions"

mystic-soul said...

Rida: You mentioned this shyr second time and I absolutely adore this couplet. Thank you!!

Mehnaz: I agree with you but as uncle said: "..... but sometimes the effects of kamzor lamha may be more lasting even lifetime."