It is questionably attributed to Chekhov that: "Any Idiot Can Face a Crisis; It’s This Day-To-Day Living That Wears You Out!" Like any other human, I have my those days and certainly many of my friends around. Years ago, I used to find solace in Faiz's following poem - and then life went on another path - but today after years I felt like listening again - talking to myself! - talking to my those friends!
gar mujhey iska yaqeeN ho, ke tere dil ki thakan
teri ankhooN ki udasi, tere seeney ki jalan
meri dil_jooi, mere pyar se mit jaey gee
gar mera harf-e-tasalli voh dava ho,
jis se ji uThey phir tera ujd.ra hoa bai_noor dimag
teri paishanee se dhul jaiN yeh tazleel ke daagh
teri beemar javani ko shifa ho jaey
gar mujhey iska yaqeeN ho, mere humdum mere dost
roz-o-shab, shaam-o-sehar, maiN tujhey bhelata rahoon
maiN tujhey geet sunata rahoon, halkey sheereen
absharoon ke, baharoon ke, chaman_zarooN ke geet
amad-e-subh ke, mehtaab ke, sayyarooN ke geet
tujh se maiN husn-o-mohabbat ki hikayaat kahooN
Kaisey maghroor haseenaooN ke barfaab se jism
garm hathoon ki hararat se pighal jatey haiN
Kaisey ik chehrey ke Thaihrey hoey manoos naqoosh
dekhtey dekhtey yaklakht badal jatey haiN
kis tarah aariz-e-mehboob ka shafaf bilor
yakbayak baada-e-ahmer se dehak jata hai
kaisey gulcheen ke liye jhuktee hai Khud shaaKh-e-gulaab
Kis tarah raat ka aiwaan mehak jata hai
yoonhee gata rahoon, gata rahooN,
teri Khatir geet bunta rahooN, baiTha rahoo, tere Khatir
par mere geet tere dukh ka madava hi nahi
naghma jarrah nahi, moonis-o-gum_Khuwar sahi
geet nashtar to nahi, marham-e-azar sahi
tere azar ka charaa nahi nashtar ke siva
aur yeh safaak maseeha mere qabzey main nahi
is jahaN ke kisi zee_rooh ke qabzey maiN nahi
Haan magar tere sewwa tere seewa tere seewa
No comments:
Post a Comment