Sunday, August 21, 2016

On "Dead Patriotism"

14 August wale din jab tum ne mujh se yunhi kaha: Happy Pakistan Day - aur main ne koi jawab nahi diya to tumhare chehre pe aik rang aa ker chala gaya.

Wajah ye thi ke - zindagi main aksar kai muhabbatain aik dum bhaK se uRR jaati hain. Pakistan ke liye meri aTooT mohabbat ke saath bhi yahi huwa.

Islamabad main paida hui. Abbu Zoology ke professor/aik college ke principal - aur Ammi doctor thiN. Aik khushaal zindagi thi. Pakistan hamari jaan tha. Main haste khelte Medical College paunchi. Shadi bhi aik well established gold medalist physician se hui. Main neurologist, woh pulmonologist - Hum dono mian biwi ka shahr main baRa accha naam tha. Izzat thi, daulat thi - 2 piyare se bachhe the -- Ravi har taraf chen hi chen likhta tha!

Koi 5 baras pehle ki baat hai, aik raat hamare ghar kuch log ghus aaye. Hum Mian biwi ko baandh ker bachhoN ko utha ker le gaye. Police, fauj, agencies, beuraucrats, politicians, Mullah, Mafia har kisi ke aage haat joRe. Kisi tarah ke koi taaluqaat kaam na aaye. --- Aakhirkaar bangla, gaari, clinics ki zameen, saare zewar de ker bachhoN ko chuRaya. Hum bhag ke America aa gaye. Is umar main aik nai zindagi shuru kerna. Mere Husband raat ko Gas station pe kaam kerte, main din main grocery store pe. Allah Allah ker ke USMLE pass huwa. Rab ne kher ki - mujeh residency mil gai. Mere Husband se USMLE to pass ho gaya, residency na mili (his age, I guess). 

Tum hairan the ke hum agar 5 baras se is shahr  main hain to nazar kiun naa aaye, bus ab jaa ke halaat kuch badle hain to logoN main kuch uthna bethna shuru kiya hai.

Aur tum kehte ho mujhe se: Happy Pakistan Day ::: Pata nahi hasate ho ya rulaate ho !!!

7 comments:

dopamine said...

:'(

Shaan said...

Duniya mei sab se bad dard hai to woh aulad ke jane ka hai......Aulad ke aage sab kuch kurbaan

dopamine said...

Sir mein aj sara din iss post k baray mein sochta rha hun..mein sirf ye poochna chahta tha, kia itni bari "calamity" kisi bhi maashray mein nae ho skti?? iska Pakistan ya patriotic honay ya na honay say kia taaluq?? Kia zulm sirf Pakistan mein he hota hy?? Boht adab say ye sawalaat pooch rha hun, Umeed hay ap jawab zarur dein gay. (mein defend nae kr rha kisi ko, zulm ya zayadti k universal honay ka pooch rha hun). shukria

Mystic said...

Dopamine: It can happen anywhere, in any country to anyone. There are 3 kinds of Patriotism

1. "Patriotism": Where you love your country but can see flaws of your society and country too, and willing to accept.
2. "Black Patriotism": Where you think only your country is best and other countries can't come up to par with your country.
3. "Dead Patriotism": Where you go numb and stop feeling any love for your country.

I gave up on Patriotism. I don't see it anymore as a virtue or value. When you live in foriegn country and interact with 100s of other nationalities, cultures, religions and languages - all human look same.

dopamine said...

Thank you for elaborating sir. It answers many things.

Shaan said...

Sir, cheezo ko dhekne ka naazariya badal diya. Bhaut bada sawal tha jo humesha dimag mei thik thik karta tha.

bsc said...

Mystic gave a good answer so I did not say anything I know of other similar stories in Pakistan of many doctors and yes Dopamine it can happen anywhere.
My friends say (left Pakistan early sixties) keh
ham nay woh Pakistan jo chhoR ker Aaiy thay dafna diya hay
Tell you the truth I feel unsafe travelling to and thru Pakistan nowadays when I do go to see my relatives.. 2007 I visited India went to local masjid for namz no problems. Went to local masjid in Lahore there were armed guards standing in front of the doors of masjid
If you see my own dukh of how I feel about Pakistan see my note (blog) of 27th of Ramzan this year