(posted as shared)
Jab doctors ne kaha ke: peripheral films dekh ke lagta hai ke 'blast crisis' hai, shayed AML ho - to bhai khuda ki qasam, MD Anderson ki deewar se lag ker mujhe zara sa bhi dar nahi laga tha
- magar aik ajeeb si baat hui -
mujhe aesa laga maut ki bajayae phir woh mera geeraban tham ke aik baar phir se wahi kuch keh rahi hai.....: 'Tumhe kaun rokta hai, jao duniya ki jis aurat ke saath chahye let ker jitne chaho bachhe paida karo, magar maut se pehle sirf aik baar mere ho jao'....
Ab tumhe kese bataun woh kaun thi, kesi thi.....
magar thero -
haan shayed woh dikhne main wesi thi..abhi TV pe aik drama chala tha, bohat logon ne dekha, tum ne bhi dekha ho ga - Man Mayal - Us main jo Mannu thi - us ke jesi thi - magar mujhe tab bhi us ka khayal nahi aaya tha
naranji rang us ko bohat pasand tha. Us roz jab woh aakhri baar mera geereban pakaR ke roi thi tab bhi us ne usi rang ke shalwar qameez pehna tha....
Pata nahi, kab kahan kese, doctors ne us ko baanjh (infertile) qarar de diya tha. Aur phir woh zamanon aur sarhadon ki gard main aesi chupi ke jese thi hi nahi -
- magar -
us lamhe jab main doctor's appointment ke baad aa ker saans lene ko corridor main deewar se lag ker khaRa huwa to bhai Allah jaane woh aik dam kahan se aa gai- aur maut ki bajaye jese woh - phir puri quwwat se mera geereban tham ke khari ho aur us ke aansuon aur hichkion se mera daman tar ho - aur keh rahi ho -
'Jao poori duniya tumhare liye paRi hai, jahan chahe, jitna chahe bhaagte phiro, tumhe kaun rokta hai, jao duniya ki jis aurat ke saath chahye let ker jitne chaho bachhe paida karo, magar maut se pehle sirf aik baar mere ho jao'....
Bhai! jab maut insaan ki aankhon main aankhain daal ker khari hoti hai - to kiun kuch log aik dam se yun saamne aa khare hote hain jese jumle ka aakhri hurf - aakhri nuqta, abhi likha jana baqi ho.
- log kehte hain - Hindustan Pakistan ki phir se jang hone wali hai - saare jahaz khali hain - magar chemotherapy se pehle mera aik ticket kerwa do!!

No comments:
Post a Comment