Friday, March 30, 2018

Trying to be a "FICS"

I have a very senior physician - an emeritus professor -  in our hospital who said an interesting thing to us on an annual hospital physicians gala last year.

"Most of the bad medicine and similar problems in life comes from trying to be a FICS which should be said as a FIX - Fit In a Crowd Syndrome. All of our life, we try to find that fine line where we can have a genuine independent existence with integrity or just do things to get fit in surrounding crowd at school, college, work, family, friends and even at a place of worship. We waste unnecessary amount of energy, time, emotions and peace just to get approval and to get fit with the crowd around. We order CT scan, MRIs, and lab tests - despite knowing it would be negative but to make sure nobody see us as an idiot ".

I always wondered: How to see that fine line, every day in my life?

Wednesday, March 28, 2018

Panch Pandav

Is blog per ye baat main ne pehle bhi likhi hai, ke taarikh ke waqiyaat sirf 'historical events' nahi hote bulke woh insaniyat ke liye aik istaara (signs) hote hain.

- Ram sita ka vanvaas lena,
- "Moses' ka qatale-tifal ki manadi dete badshah ke mahal main parvarish paana
 'Jesus' ka us ke hawarioN ko choR ker chale jaana,

In sab ke peeche koi 'wider meaning' pinhaN hai.

Meri residency main surat, India se - Rakesh - ne internship shuru ki. Rakesh India main cardiologist tha. Biwi ke dabao pe USA main phir se zindagi shuru kerne ki koshish ki magar ye asan na tha. Woh aik baras baad wapas India chala gaya.

Rakesh ko har mazhab ki kitabain parhne ka shoq tha. Islam ki jitni knowledge usey this hum main se kisi ki na thi. Ajeeb malang aadmi tha. Aik din kehta hai: 'Ye daaRhi muhammad ke devotion main rakhi hai'. Hospital ke saath church main ghus jaata to bibi maryam ke pairoN se lag ker der tak bilkak bilak ke rota rehta - magar saath hi har Sunday baqaidgi se mandir bhi jaata.

Rakesh ne aik din baRi ajeeb baat kahi. Aap ise humor samjh lain, sach, sarcasm ya istaara - ye aap per hai

Rakesh ne apne makhsoos gujarati style main hum se poocha:"Tum log jaante ho paanch paandav ke beech sirf aik aurat kiun thi?"  Hum ne kaha: nahi.

Rakesh ne jawab diya: 
"Aik aurat ka ideal mard aesa hota hai jis main paanch khubian ho. Woh Yudhishthir ki tarah muaf kerne wala, Bhim ki tarah bahadur aur jangju, Arjun ki tarah pur-sakoon, Nakul ki tarah wafadaar aur Sahadev ki tarah aqalmand ho".

- Phir aahista se kaha: "Isi lye aesa taarikh main sirf aik baar huwa!"

Sunday, March 18, 2018

shadi

Hamari amma baRe shoq se Pakistani TV drame dekhti hain. Kabhi kabhi main bhi saath beth leta hun. Koi regular sa drama chal raha tha. Actors bhi saare naye naye se the. Baqi saare dialogue bhi aamyaana se the - magar aik jumle ne meri saari tawajoh khench li.

Aik baap, shaddi se inkaar kerti hui beti se kehta hai: "Beta! shadi se insaan mautabir ho jaata hai"

Ye shayed un zimedarioN ke bojh se hota hai - jo insaan ke kaandhoN pe aa paRti hain. Compromises kerne parte hain, sabar kerna parta hai, bachhoN ke liya zindagi ki bhag doR insaan ko adh muwa ker deti hai. Des Perdes ki khak chaanni paRti hai. LogoN ke taane tashne bhi sunne paRte hai. wagera wagera

- aur shayed inhi sab kuch ke 'scarface' se insaan mautabir ho jaata hai.

Thursday, March 15, 2018

maran bhoomi

"He never traveled ever. And as he landed and came out of this country's airport, he collapsed and died".

Kiya ye sach hai?
- ke jese har insaan ki janam bhoomi (place of birth) mutayyan hai 
- wese hi - us ki maut kis zameen pe ho gi? - ye be destined hai?

Wednesday, March 14, 2018

March 14 - Pi Day

My niece texted me this morning:

Einstein was born on Pi day
Hawking died on Pi day

Co-incidence?
Or God's message: "Guys! nothing is accidental".

(March 14 is known as Pi day as it is 3.14)

Monday, March 12, 2018

Ordeal of Waitresses

Whatever I write will be redundant. Watch this video clip produced by NY Times. It is heart breaking how waitresses have to walk on a fine thin line.

Click here for full written article http://nyti.ms/2pawHxd

Wednesday, March 07, 2018

S(P)IN

Yasuh Maseeh se bhi 5 ya 6 sadiyoN pehle hindustan main bihar ki zameen pe aik dana shaks guzra tha - Jis ka naam tha Mahavir - jise 'Jain' mazhab ka perukaar apna bhagwaan maante hain.

Mahavir ne kaha tha: "Is zameen ka koi insaan har subah apne ghar se ye soch ker nahi niklta ke aaj gunah ke kaam karun ga - magar din guzarne ke saath saath - apne piyaroN ya khud ke liye - duniya ki chahat ki taraf khinchta chala jata hai - aur woh apne dimag main gunah ka koi jawaz paida ker leta hai".

- Apne sin ko koi spin de kar khud ko itminaan dila deta hai

Insaan bara kamina hai - apne har galat kaam ka jawaz lafzon main dhundh leta hai.