Tuesday, July 02, 2019

Practicing Profession

Aik din Karachi main kisi kaam se Lee Market jaana huwa - peeche se koi juloos nikal paRa aur saara transport band ho gaaya.

Aik makrani baloch bhai ki Gadha gari saRak kinare khaRi thi - main ne kaha Guru Mandir tak choR do, us ne shayed 23 rupe maange - main ne kaha 15 rupe dunga - wagera wagera (ab woh negotition yaad bhi aati hai to hasi aati hai)

Us ke baad us ne jis maharat se Jalse jaloos ke beech se - mujhe Guru mandir paunchaya hai - main hairan reh gaya. Guru mandir paunch ke main ne kaha - yaar kamal ke aadmi ho ; gadha gaari motorcycle se tez chalate ho. Makrani bhai ne jo jawab diya, woh aaj bhi meri rehnumaai kerta hai. Usne apne makhsoos makrani lehje main kaha: "Apun gaaRi roz chalata hai, mehnat aur piyar se chalata hai - aur maze le le ke chalata hai"!

Mera nahi khayal kisi MBA ki kitab main, profession practice kerne ki itni saada defination kabhi likhi gai ho gi!

No comments: